*【POST 65】*

💫 *_BAITH KAR NAMAZ PADHNE MEIN BHOOL_*💫

📌 *QA’DAH E AKHIRAH MEIN TASHAH’HUD BHOOL KAR QIRA’AT SHURU KAR DI.*

💎 _Mas’ala:
*Kisi ne 4 rak’at wali namaz kisi uzr ki wajah se baith kar padhi aur qa’dah e akhirah ke mauqe par tashah’hud padhna bhool gaya, aur qira’at shuru kar di. Qira’at ke ba’d ruku bhi kar liya to is ka hukm khade hokar namaz padhne wale ki tarah hai jo bhool kar chauthi rak’at ke ba’d khada ho jata hai. Lihaza is soorat mein baith kar namaz padhne wale ne jab tak paanchwi rak’at ka sajda nahin kiya hai, to yaad aane par tashah’hud padhe phir sajda e sahw kare, namaz ho jayegi.*_
📖 _(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)_

💎 _Mas’ala:
*Aur agar paanchwi rak’at ka sajda kar liya to namaz jati rahi, dobara padhe, sajda e sahw se kaam nahin chalega.*_
📖 _(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)_

💫 *_4 RAK’AT NAMAZ BAITH KAR PADHNE WALE NE QA’DAH E ULA MEIN QAYAAM KI NIYAT KI_*💫

💎 _Mas’ala:
*4 rak’at namaz baith kar padhne wale ne dusri rak’at ke dusre sajde se sar uthane ke ba’d qa’dah e ula ke niyat ki bajaye qayaam ki niyat ki, magar qira’at shuru nahin ki to yaad aate hi tashah’hud padhe aur namaz puri kare, sajda e sahw ki zarurat nahin.*_
📖 _(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)_

💎 _Mas’ala:
*Aur agar qayaam ki niyat karke qira’at shuru kar di tab yaad aaya to qira’at chhod kar tashah’hud na padhe balki 4 rak’at puri karke akhir mein sajda e sahw kare, namaz ho gayi. Jo hukm khade hokar namaz padhne ka aur qa’dah e ula chhut jane ka hai, wahi hukm iska hai.*_
📖 _(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)_

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e akhirah bhool kar khada ho gaya aur 4 rak’at wali namaz mein paanchwi rak’at ka sajda kar liya ya maghrib mein teesri par nahin baitha, chauthi ka sajda kar liya yunhi fajr mein dusri par nahin baitha teesri ka sajda kar liya to in sab sooraton mein farz baatil ho gaya namaz dobara padhe, sajda
e sahw se kaam nahin chalega, albatta maghrib ke siwa aur namazon mein ek rak’at aur mila le iski ye namaz nafl ho jayegi.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74; Fatawa Razaviyya J 3, pg. 668)_

⚡ _*Maghrib mein 3 ke ba’d ek rak’at aur padh li hai to 4 ho gayi ab agar ek aur milayega to 5 be-jod ho jayegi.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 78 79.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites