💫 *_BAQADRE TASHAH’HUD BAITHNE KE BA’D SAJDA E TILAWAT YAAD AAYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat padhne ke miqdar baithne ke ba’d yaad aaya ki sajda e tilawat ya namaz ka koi sajda karna bhool gaya hai, yaad aane par agar wo sajda kar liya to farz hai ki sajda ke ba’d dobara ba-qadre tashah’hud baithe, kyunki pehla qa’dah jata raha, is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai agar dobara qa’dah na karega to namaz na hogi.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)_
💫 *_SAJDA E SAHW SE QA’DAH BAATIL NAHIN HOTA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Sajda e sahw karne se wo qa’dah jo sajda e sahw se pehle kiya hai wo baatil na hua baqi rahta hai, magar dobara tashah’hud padhna wajib hai, agar sajda e sahw karke baghair attahiyyaat padhe salam pher diya to farz ada ho gaya magar wajib chhod dene se gunahgaar hua, aisi namaz ko lautana wajib hai.*_
📖 _(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)_
⚡ _*Agar bhool kar Salam pher diya aur abhi hurmat e namaz mein hain, ya’ni koi aisa kaam nahin kiya jis se namaz tut jati hai to phir dobara sajda e sahw kare aur attahiyyaat waghaira padh kar salam phere namaz ho jayegi.*_
_WAllahu Ta’ala A’lam bis-sawab._
💫 *_QA’DAH E AKHIRAH MEIN TASHAH’HUD BHOOL GAYA YA TASHAH’HUD KE BAJAYE ALHAMD PADHI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat padhna bhool gaya, ya attahiyyaat ke bajaye Alhamd sharif padh diya aur salam pher diya to yaad aate hi laute aur attahiyyaat padh kar sajda e sahw karke namaz puri kare.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg.66)_
💫 *_JAHAN JAHAN QA’DAH E AKHIRAH KA SHUB’HA HO WAHAN QA’DAH KARTA JAYE._*
💎 _Mas’ala:
*Kisi ko rak’aton mein shub’ha hua ki kitni hui to is soorat mein kam ko maan kar jitni baqi reh gayi hai isko padhe, maslan ek aur do mein shak hua to ek mane aur do aur teen mein shak hua to do mane aur teen aur aur chaar mein shak hua to teen mane, jahan jahan qa’dah e akhirah ka shub’ha ho wahan wahan qa’dah karta jaye aur aakhir mein sajda e sahw kare.*_
✨ _*Maslan do rak’at wali namaz mein shak hua ki do hui ya ek, to ek maan le aur qa’dah karke dusri rak’at padhe, kyunki mumkin hai ki yahi dusri rak’at ho, yunhi 4 rak’at wali namaz mein shub’ha hua ki 4 hui ya 3, to 3 maan le aur qa’dah kare phir chauthi ke liye khada ho aur ek rak’at puri kare phir qa’dah karke sajda e sahw kare, kyunki shak ki soorat mein ye mumkin hai ki jis ko ek maana hai wahi dusri ho, yunhi jisko 3 maane wahi chauthi ho aur 2 rak’ati mein 2 par aur 4 rak’ati mein 4 par qa’dah farz hai.*_
⚡ _*Isliye jahan jahan qa’dah e akhirah ka shub’ha rak’at mein shub’ha ki wajah se ho wahan wahan qa’dah karta jaye taaki farz ada ho jaye aur aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.*_
📖 *(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 668)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 79 80 81.*

No comments:
Post a Comment