*【POST 67】*

💫 *_QA’DAH E AKHIRAH MEIN DUROOD AUR DUA E MASURA NAHIN PADHI._*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi ne qa’dah e akhirah mein durood sharif aur dua e masura ya dono mein se ek bhool kar ya qasdan nahin padha to is par sajda e sahw nahin, kyunki in dono ka attahiyyaat ke ba’d qa’dah e akhirah mein padhna sunnat hai wajib nahin, albatta qasdan chhodna sunnat ke khilaaf hai, aur durood sharif ka qasdan tark karna sakht mahroomi hai.*_

💫 *_DUROOD SHARIF DO BAR YA AADHA PADHA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne qasdan qa’dah e akhirah mein durood sharif ek bar padhne ke bajaye do bar padh liya ya aadha padha to is par sajda e sahw wajib nahin aur agar aadha durood sharif padh kar bhoole se dua e masura shuru kar di phir khayal aaya to iske liye behtar hai ki dua chhod kar pura durood sharif padhe
phir dua padhe phir salam phere magar is par sajda e sahw nahin hai.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 445)_

💫 *_ATTAHIYYAAT AUR DUROOD KE BA’D SAJDA E SAHW YAAD AAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi par sajda e sahw wajib tha attahiyyaat ke ba’d sajda e sahw karna yaad na raha, durood sharif ya dua e masura padhne ke ba’d yaad aaya, to usi waqt sajda e sahw kare, phir attahiyyaat waghaira padh kar salam phere.*_
📖 _(Aalamgiri J 1 pg. 66)_

💫 *_QA’DAH E AKHIRAH MEIN SALAM SE PEHLE KUCHH SOCHTA RAHA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat, durood sharif aur dua e masura padh lene ke ba’d salam nahin phera balki khaamosh kuchh der tak sochta raha to is par sajda e sahw wajib nahin.*_
📖 _(Shaami J 1 pg. 445)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 81 82.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites