💫 *_KHUROOJ E BI-SUN’IHI_*💫
⚡ _*Namaz ka aakhri farz “khurooj e bi-sun’ihi” hai, “khurooj e bi-sun’ihi” ka matlab ye hai ki qa’dah e akhirah pura karne ke ba’d namazi apne qasd aur irade se salam o kalam waghaira aisa kaam kare jo namaz ke munafi ho, ya’ni agar wo kaam namaz ke andar kiya jata to namaz tut jati jaise namaz ke andar “assalamu alaykum” kehna.*_
✨ _*Khayaal rahe ki salam ke alawa koi aisa kaam namazi ne apne qasd o ,irade se kiya jo namaz ko tod de to namaz ka farz ada ho jayega, magar namaz wajib ul iadah hogi, ya’ni salam ke bajaye kalam kar liya ya qah-qaha laga kar hansa ya kuchh kha pi liya to namaz lautani padegi, kyunki qa’dah e akhirah pura
karke “As-salam” kehna wajib hai, jisko jaan-bujh kar chhod diya hai, is liye namaz lautani wajib hai, sajda e sahw se kaam nahin chalega, iski wajah ye hai ki hurmat e namaz kalam waghaira kar lene se jati rahi, to ab sajda e sahw ka mauqa o mahal bhi baqi na raha.*_
📖 _(Khulasa Aammah kutub)_
💫 *_NAMAZ E WITR MEIN SAHW_*💫
⚡ _*Witr ki 3 raka’t namaz e Isha ki namaz ke ba’d padhni wajib hai, chunki ye namaz dusri namazon se qadre mukhtalif hai, kyunki witr mein dua e qunoot aur dua e qunoot se pehle takbir “Allahu Akbar” kehna wajib hai, is liye iske masail e sajda e sahw ko alag se bayaan kar dena munasib malum hua.*_
✨ _*Khayal rahe ki witr wajib hai, agar kisi ne sahwan ya qasdan na padha to dusre waqt mein iski qaza wajib hai.*_
📖 _(Ammah Kutub)_
💫 *_WITR MEIN QA’DAH E ULA BHOOL GAYA_*💫
💎 _Mas’ala: *Witr ki namaz 3 rak’at hai, ismein bhi qa’dah e ula (2 rak’at par baqadre tashah’hud baithna) wajib hai, sirf attahiyyaat padh kar khada ho jaye, durood sharif waghaira na padhe, jaise maghrib ki namaz mein karte hain waise hi kare aur agar qa’dah e ula bhool kar khada ho gaya to yaad aane par laute nahin aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 623; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 4)_
💎 _Mas’ala:
*Witr ke qa’dah e ula mein attahiyyaat bhool gaya ya attahiyyaat ke ba’d durood sharif padh liya to is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 648)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 82 83.*

No comments:
Post a Comment