*【POST 69】*

💫 *_TAKBIR AUR QUNOOT BHOOL KAR RUKU MEIN CHALA GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Witr ki namaz mein agar koi shakhs teesri rak’at mein takbir e qunoot aur dua e qunoot bhool kar ruku mein chala gaya,phir yaad aane par laut aaya, aur takbir keh kar dua e qunoot padhi to ba’d mein dobara ruku na kare pehla ruku kaafi hai,aur namaz puri kare, ya phir bhool se dobara ruku kar liya, ya dua e qunoot ke liye nahin lauta aur hukm yahi hai ki na laute, jab bhi namaz ho gayi, magar in sab sooraton mein is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami J 1, pg. 627)_

💎 _Mas’ala:
*Agar jaan-bujh kar dobara ruku kiya to namaz dobara lautani padegi sajda e sahw se kaam nahin chalega.*_
📖 _(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 669)_

💫 *_IMAM NE BHOOL KAR QUNOOT PADHE BAGHAIR RUKU KAR DIYA AUR MUQTADI NE LUQMA DIYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar imam bhool kar dua e qunoot padhe baghair ruku mein chala gaya, aur muqtadi ne luqma diya to muqtadi ki namaz faasid ho jayegi, aur agar imam ne luqma qubool kar liya aur phir qunoot padhne ke liye khada ho gaya to imam aur aur tamam muqtadiyon ki namaz faasid ho jayegi, dobara padhein sajda e sahw se kaam na chalega.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 64)_

📌 *TANBEEH*

✨ _*Imam Qunoot bhool kar ruku mein chala gaya to muqtadiyon ko luqma dena jaiz nahin, log is mas’le se ghaafil hain.*_

💫 *_DUA E QUNOOT SURAH FATIHA KE BA’D PADHI AUR SURAH MILANA BHOOL GAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne witr ki teesri rak’at mein Alhamd padh kar dua e qunoot padh li aur Alhamd ke ba’d surah milana bhool gaya, aur ruku mein chala gaya, to zaruri hai ki ruku se khada ho kar surah milaye, phir dua e qunoot padhe,  phir dobara ruku kare aur aakhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 627)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 83 ,84.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites