💫 *_WITR KI AAKHRI RAK’AT MEIN ALHAMDU BHOOL GAYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Witr ki aakhri rak’at mein Alhamdu padhna bhool gaya aur surah padh li to is par sajda e sahw wajib hai, agar ruku mein yaad aaya to laute, pehle surah Fatiha padhe, phir surah milaye aur qunoot padh kar phir ruku kare aur aakhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 65)_
💫 *_DUA E QUNOOT CHHOD KAR IMAM RUKU MEIN CHALA GAYA TO MUQTADI KYA KARE._*💫
💎 _Mas’ala:
*Ramzan Sharif mein jab witr ki namaz jama’at se padhe us waqt imam dua e qunoot chhod kar ruku mein chala gaya, to agar muqtadi dua e qunoot padh kar imam ke sath ruku mein shareek ho sakta hai to padh kar ruku mein shareek ho jaye, aur agar ruku chhutne ka andesha hai to baghair dua e qunoot padhe ruku mein chala jaye, agar imam ko yaad aaya ki qunoot bhool gaya hai aur khade ho kar padh li to dobara ruku karne ki zarurat nahin, pehla ruku kaafi hai, bahr soorat is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Aalamgiri; Shaami; Bahaar E shari’at J 4, pg.7)_
💫 *_WITR KI RUKU MEIN SHAK HUA KI KITNI HUI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Witr mein shak hua ki ye pehli rak’at hai ya dusri ya teesri hai to us rak’at mein bhi dua e qunoot padhe, aur qa’dah kare, iske ba’d 2 rak’atein aur padhe, aur har rak’at mein dua e qunoot bhi padhe aur qa’dah kare, aur aakhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Durre Mukhtar; Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 7)_
💎 _Mas’ala:
*Yunhi agar ye shak hua ki ye dusri rak’at hai ya teesri to dono mein dua e qunoot padhe aur qa’dah kare aur aakhir mein sajda e sahw kare.*_

💫 *_DUA E QUNOOT PEHLI YA DUSRI MEIN PADH LI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne dua e qunoot witr ki pehli rak’at mein ya dusri rak’at mein padh li, to teesri mein phir padhe yahi raajeh hai, aur aakhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Ghuniya; Bahrur Raiq; Bahaar E Shari’at J 4, pg.7)_
⚡ _*Ba’az Ulama ne farmaya hai ki jab dua e qunoot witr ki pehli ya dusri mein padh li hai to ab teesri mein na padhe sirf aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.*_
📖 _(Tahtawi pg. 166)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 84 85.*

No comments:
Post a Comment