*【POST 57】*

💫 *_TASHAH'HUD_*💫

💎 _Mas’ala: *Qa’dah e ula aur qa’dah e akhirah mein puri attahiyyaat padhni wajib hai, nez in donon qa’don ke alawa bhi jitne qa’de karne padein sab mein pura tashah’hud padhna wajib hai, agar ek lafz bhi chhut gaya to tark e wajib laazim aayega.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at pg. 76; J 3)_

📌 *_ATTAHIYYAAT KE ALFAAZ YE HAIN._*

⚡ _*“Attahiyaatu lillahi was-salwatu wat’tayyibatu assalamu alaika ayyuhan nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuhu assalamu alaina wa ala ibadillahis saalihin ash’hadu alla ilaha illallahu wa ash’hadu anna muhammadan ab’duhu wa rasooluhu.”*_

✒️ *IS MEIN KOI HARF KAM O BESH NA KARE, ISI KO TASHAH’HUD KEHTE HAIN*

💎 _Mas’ala: *Jab kalma “La” ke qareeb pahunche dahine hath ki bich ki ungli aur anguthe ka halqa banaye aur chhungliya aur iske paas wali ko hatheli se milaye aur lafz “la” par kalme ki ungli uthaye magar isko jumbish na de aur kalma “illa” par ungli ko gira de aur sab ungliyon ko fouran seedhi kar le.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3; pg. 66)_

💫 *_QA’DAH E ULA AUR ISKE TASHAH’HUD MEIN SAHW_*💫

📌 *QA’DAH MEIN DONO PAUN KHADA YA BICHHA HUA RAKHA*

💎 _Mas’ala: *Agar kisi ne qa’dah mein dono paun ko khada rakha ya bichha kar is par baitha to is se sajda e sahw wajib na hoga, aisa karna sunnat ke khilaaf hai, Agar kisi uzr aur bimari ki wajah se hai to harj nahin namaz bila-karahat ho jayegi.*_

💫 *_QA’DAH E ULA BHOOL GAYA_*💫

💎 _Mas’ala: *Qa’dah e ula (pehla qada’h) bhool gaya to jab tak seedha khada na hua ho fauran baith jaye, is soorat mein is par sajda e sahw nahin hai, aur agar seedha khada ho gaya to ab qa’dah ki taraf na laute namaz puri karke akhir mein sajda e sahw kare namaz ho gayi aur agar seedha khada hokar qa’dah ki taraf lauta to bhi sajda e sahw karna wajib hai magar aisa karna gunaah hai, lihaza hukm ye hai ki agar seedha khada hokar baitha hai to fauran khada ho jaye.*_

📖 *(Shaami pg. 701, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 51, J 3; Ghuniyah)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 67 68 69.*



👆👆

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites