*【POST 56】*

💫 *_QA’DAH AUR ATTAHIYYAAT_*💫

📌 *QA’DAH KISE KEHTE HAIN?*

✨ _Dusri rak’at ke dono sajdon ke ba’d itni der tak baithna jitni der mein puri “Attahiyyaat” padhi ja sake isi ko Shari’at mein qa’dah kehte hain, 4 rak’at wali namaz mein har 2 rak’at par qa’dah kiya jayega._

⚡ *_Farz, Wajib aur Sunnat e Mokkadah namazon mein pehla qa’dah wajib hai, aur qa’dah e akhirah (dusra qa’dah) farz hai, aur nafl namazon mein har qa’dah qa’dah e akhirah hai ya’ni Farz hai._*
📖 _(Bahaar E Shari’at J 4, pg. 52)_

💫 *_QA’DAH KA MASNOON TAREEQA_*💫

💎 _,Mas’ala:
*Qa’dah mein baithne ka sunnat tareeqa ye hai ki jab qa’dah karna ho to sajdon se faarigh hone ke ba’d bayaaN (ulta) paun bichha kar dono surin ko us par rakh kar baithe, aur dahina (seedha) qadam khada kar ke zameen par is tarah rakhe ki paun ki ungliyaan qibla rukh rahein,ye hukm mardon ke liye hai,*_

✨ _*Aur auratein dono paun ko dahini taraf nikaal dein aur bayein surin ko zameen par rakh kar baithein, iske ba’d dahina hath dahini raan par aur bayaaN hath bayein raan par mard aurat dono is tarah rakhein ki dono hath ki ungliyaan apni haalat par rahein, na mili hon aur na khoob phaili hui hon, aur ungliyon ke kinaare ghutnon ke paas raan par qibla rukh rahein, ghutnon ko hath se pakad kar na rakhein qa’dah ki haalat mein nazar god ki taraf rakhien aur peeth ko seedha rakhein.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 67.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites