RAMZAN MAHARBAN PART 3


ROZAH KA BAYAAN (Masa'il)

Namaaz Ki Tarha Rozah Bhi Farz e A'ain Hai. Is Ki Farziyat Ka Inkaar Karne wala Kafir Aur Bila Uzur Chodne Wala Sakht GunahGaar Aur Aazabe Jahannam Ka Sazawaar Hai.

 Mas'alah:  Shari'at Me Rozah: Ke Maani me Allah TA'ala Ki Ibadat Ki Niyyat Se Subh Saadiq Se Lekar Suraj Doobne Tak Khane , Peene Se Apne Ko Roke Rehna.

 Mas'alah: Ramzan Ke Ada Roze , Aur Nazre Mu'aiyan  ( Minnat Ke Roze) , Aur Nafil-o- Sunnat , Mustahab Roze  Aur Makruh Roze. In Rozo(n) Ki Niyyat Ka Waqt Suraj Doobne Se Le Ker Dahwaye Kubra

( Yane Dupehar Se Taqriban Dedh Ghanta Pehle( 10 Baje Ka Waqt) , Tak Hai.

Us Darmiyan Main Jab Bhi Rozah Ki Niyyat Kare Ye Roze Hojayenge.

Lekin Raat Hi Main Niyyat Ker Lena Behtar He.

in 6 Rozo(n) Ke Elawa Jitne Roze Hai

Maslan - Ramzan Ki Qaza Rozah,

Nazre Muaiyan Ki Qaza Rozah ,

Kaffarah Ka Rozah ,

Hajj Main Kisi Jurm Kerne Ka Rozah Wagera

In Sab Rozo(n) Ki Niyyat Ka Waqt
Guroob Aaftaab Se Leker
Subah Saadiq Tulua Hone Tak He
Us Ke Baad Nahi.

Mas'alah: Jis Tarha Aur Ibadaton Me Bataya Gaya Hai Ke Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zabaan Se Kehna Kuch Zaruri Nahi.Isi Tarha Rozeh Me Bhi Niyyat Se Muraad Dil Ka Pukhta Irada Hai. Lekin Zabaan Se Bhi Keh Lena Achcha Hai. Agar Raat Me Niyyat Kare to Youn Kahe -

نَوَيتُ اَن اصُؤمَ غَداً لِلّهِ تَعَالى مِن فَرَضِ رَمَضَان.

Aur Agar Din Me Niyyat Kare to Youn Kahe

نَوَيتُ اَن اصُؤمَ هذَا اليَؤمَ مِن فَرَضِ رَمَضَان.

 Mas'alah: Qazaye Ramzaan Waghaira Jin Rozon Me Raat Se Niyyat Kar Leni Zaroori Hai Un Rozon Me Khaas Us Rozeh Ki Niyyat Bhi Zaruri Hai Jo Roza Rakkha Jaye. Maslan Youn Niyyat Kare Ke Kal Main Apni Pehli Ramzaan Ke Roze  Ki Qaza Rakhonga Ya Main Ne Jo Ek Din Rozah Rakhne Ki Minnat Mani Thi Kal Main  Wo Rozah Rakhonga.

 Mas'alah: Eid-o- Baqra Eid Aur Zil-Hijja Ki
11 , 12 , 13 Tareekh
In 5 Dino Mai Roza Rakhna Makruh Tehreemi Aur Gunah He.

 Mas'alah: Kisi Kam Ki Minnat Maani To Pura Hojane Per Us Rozah Ko Rakhna Wajib Hogaya
Agar Nafil Ka Roza Rakh Ker Us ko Tod Diya.
To Uski Qaza Wajib He.

 Mas'alah: Aurat Ko Nafil Ka Roza Bila Shuhar Ki Ijazat Ke Rakhna Mana He.

(Ref:- Jannati Zewar , Safa-259 to 260)

To Be Continued...

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites