POST 01

🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳 
✔ Hadees No.1

Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor ﷺ  ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ??   Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai

📕 Bukhari Jild 1 Safa 263
📙 Muslim Jild 1 Safa 351
📗Mishkaat  Safa 175

➡ Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai

⏩ Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki
 Huzoor ﷺ  ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu

⏩ Hazrate Ayesha رضي الله عنها  Se marvi hadees me hai
Huzoor ﷺ  ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai

⏩ Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه  ki riwayat me hai
Huzoor ﷺ  ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu

⏩ Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya Yaa Rasoolullah ﷺ
🌴 Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai 🌴


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites