POST 03

🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 5

Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor ﷺ ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah ﷺ khush hote to Aap ﷺ   ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap  ﷺ ki khushi ko jaaan jate.

📕 Bukhari Jild 1 safa 502

✔ Hadees No. 6

Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah  ﷺ ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah

📕 Bukhari  Jild 1 Safa 502

➡ Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi  sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah ﷺ to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor ﷺ ka hi Sadqa Hai .

🌴 Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga 🌴

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites