POST 08

🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 14

Hazrate Abuzar Gifaari  رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se arz kiya ki Yaa Rasoolullah  ﷺ  aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor ﷺ  ne Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge.

📙 Mishkat Safa 515

➡ Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah ﷺ  ki Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap  ﷺ Insano ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap ﷺ ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap ﷺ ki ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai
➡ Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai

🌴 Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai
 Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai  🌴


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites