*Suwal no. 8*

*Hazrat aap hi bataye isme ye jo behes hai ki aaj kal Short me bas Salam kara Jata hai or isi tarah log short*
*me “wks” likh kar jawab de dete hai, kya ye sahi he*

*Jawab :-8 بسم الله الرحمن الرحيم*
Cham‐chamata “ilmi heera” la‐ilmi ki khaan me,
Musalmano ko adab sikhata SALAM ke byan me
Sirf “Salaam” keh dene se bhi salam ho jaata hai
Jaisa ki,
*Ki quran ke para : 14 ayat:52 me lafz “salam”  salam hi ke liye farmaya gaya…*
*Bahar e Shariat Jild:3 Page:465 par hai,*
“Kuchh (log) kehte hai “SALAAM” isko bhi salaam kaha jaa Sakta hai,”
or isi me hai
“salaam” ke Jawab me “salaam” keh diya, Ya وعليکم keh diya. Jab bhi Jawab ho gaya”

Musalmano ko Salam Ka Andaz Sikhate huye. Mere *AQA ALAHAZRAT IMAM AHLE SUNNAT,* ASHAH
AHMAD RAZA KHAN *Fatawa Razawiyya Jild: 22, Page:408 Pe farmate hain,*
Kam se kam,, عليكم ْ السالم    َّ َ ُ َ َْ ُ Or isse behtar الله ِورحمة   ْ ُ َ َ َ Or sabse behtar وبركاته َ َ َ َ ُ ُ Shamil karna .
Or farmate hai 
عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ ke Jawab me عليكم ْ السالم   َّ َ ُ َ َْ ُ kehne se bhi jawab (ada) ho jayega. Magar sunnat hai ki السالم وعليکم
kahe ..
‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
AHAM MAS’ALA
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn
Jawab Munh se de de, der ki to gunahgar hoga, Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain,
Tabhi alaHazrat jab khat padha karte to khat Me jo salam likha hota hai uska Jawab zuban se (foran)
Dekar, bad me aage khat padhte.
‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Khulasa e kalam ye hai ki, Jab shariat me ‘salam’ kehna jaiz hai to Kam az kam salam hi kaha jaye magar.
Jawab me bhi ‘salam’ keh diya jaye Or behtar hai ki poora kare. Jaisa ki imam ne smjhaya. Magar
“Wks”.. kuchh nahi hota.. isse parhez chahiye..
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites