*【POST 04】*



*نماز میں ناف کے نیچےہاتھ باندھنا سنت ،سینے پر باندھنا مکروہ ۔ابن قیم الجوزی*
_Naaf Ke Niche Bandhna Sunnat Sine Per Bandhna Makroh,ibne Qayam_

*Wahabi Ghair Muqalladin Ka Motabar imam ibne Taimya Ka Khas Shagird Likhta hai “*

❇ _Dauran Namaz Hath Bandhne Ki Jaga Mein ikhtelaf Hai imam Ahmed Se Ek Riwayat Naaf Ke Uper Bandhne Ki Hai Ek neeche Bandhne Ki Hai Ek Riwayat Aap Se Wo Hai Jo Abu Talib Ne Zikr Ki Hai Aap Farmate Hain Ke Main Ne imam Ahmad Se Pocha Ke Namaz Padhte Howe Hath Kahan Rakhe Aap ne Farmaya_

🔮 *_“Naaf Ke Uper Ya Neeche Rakhe” Aur Aap Ke Nazdik Sab Jayaz Hai Chahye Naaf Se Upre Ho Chahe Naaf Se Niche Ho Chae Naaf Per Rakhe Hazrat Ali Se Riwayat Hai Ke Hatheliyun Per Hatheliyun Ko Naaf Ke Niche Rakhna Sunnat Hai Omro Bin Malik Ne Riwayat Abul Jauza hazrat ibne Abbas Se Hazrat Ali Ki Tafseer Ke Manind Riwayat Kiya Hai Magar Ye Sahih Nahi Hai Sahih Hazrat Ali Ki Hadees hai imam Mizni Ki Riwayat Ke Mutabiq imam Ahmad Ka Ye Farman Hai Ke Naaf Se Thuda Niche Bandhe Aur Seene Per Hath Rakhna Makrooh Hai is Liye Nabi Karim Se Marwi Hai Ke Aap ne Ne Takfeer Se Mana Farmaya Hai Aur takfir Seene Per Hath Rakhne Ko Khte Hain_*

📚 *_Badaye Al Fawaid ibne Qayam Page 980,981,982_*

🔰 *Ghair Muqalladin Kaafi Chilate Hain Naaf ke Niche Hath Bandhna Sabit Nahi Hai Zaif Hadees Hai Wagera Magar inka Motabar imam ibne Qayam Tu Sabit Kar Raha Hai Ke namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai Na Sirf Naaf Ke Niche Bandhne Wali Amal Ko Sahih kaha Balki Seene Per Hath Bandhne Wale Amal Ko Makroh Likh Diya Ab Ghair Muqallain Se Sawal Hai Ke ibne Qayam Sahih Tha Ya Aaaj Ke Ghair Muqalladi Sahih Hain? Kiya ibne Qayam itna Jahil Tha Ke Usse Sahih Aur Zaif Hadees Ka Bhi ilm Nahi Tha ? Agar Naaf Ke Niche Bandhne Wali Tamam Riwayat Zaif Hain Tu ibne Qayam Ne is Amal Ko Sahih Kiyun kaha? Aur Seene Per Hath Bandhne Wali Riwayat Sahih Thi Tu is Amal Ko Makrooh Kiyun Kaha ?_*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites