*امام صالح شامی سے بدعت حسنہ {اچھی بدعت } کا ثبوت*
💫 *_Imam Swaleh Shami Se Achi Bidat Ka Saboot_*
📖 *_Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Yusuf Swaleh Shami Farmate Hain_*
*لأن البدعة لم تنحصر في الحرام والمكروه، بل قد تكون أيضاً مباحة ومندوبة وواجبة. قال النووي- رحمه الله تعالى- في «تهذيب الأسماء واللغات: البدعة في الشرع: هي ما لم يكن في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم وهي منقسمة إلى حسنة وقبيحة» . وقال الشيخ عز الدين بن عبد السلام- رحمه الله تعالى- في القواعد: البدعة منقسمة إلى واجبة وإلى محرمة ومندوبة ومكروهة ومباحة*
🔮 *_“Bidat Ka inhasar Sirf Haram Wa Makroh Per Nahi Hai Balke Bidat Usi arah Mobaah Mandoob Aur Wajib Bhi Hoti Hai imam Navwi Apni Tasnif “Tahzeeb Ul Asma Wa Lughat “ Mein Farmate Hain Shariat Mein Bidat Us Amal Ko Kehte Hain Jo Huzoor ﷺ Ke Zamane Mein Na Howa Ho Aur Ye Bidat Hasna Aur Bidat Qabeeha Mein Taqseem Ki Jaati Hai Hazrat Shaikh Izuddin Bin Abdussalam Apni Tasnif “Qawaid Ul Ahkam “Mein Farmate Hain Bidat Wajib ,Haram,Mandob ,Makroh ,Aur Mubah,Mein Taqsim Hot i Hai_*
📚 *_Sublool Huda Warrishad Vol 01 Page 439_*
🔰 *Hazrat imam Swaleh Shami Ke Nazdeek Bhi Bidat Do Qisam Ki Hai Aur Achi Bidat Yani Bidat Hasna Per Amal Karna Ye Jayaz Hai Aur is Per Sawab Bhi Hai Aur Yahi Akabarin Ka Maslak Hai*
No comments:
Post a Comment