POST 02

2⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🌹 *Hazrat Abubakar Siddiq Namaz e Janaza Masjid Mein Nahi Padhte Thy*

☪ *حضرت ابوبکر صدیق رضي الله عنه نماز جنازہ مسجد میں نہیں پڑھتے تھے*

*Hazrat Imam Abu Tayalasi Riwayat Naqal Farmate Hain:*

*حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ قَالَ: حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي ذِئْبٍ، عَنْ صَالِحٍ مَوْلَى التَّوْأَمَةِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ  «مَنْ صَلَّى عَلَى جِنَازَةٍ فِي الْمَسْجِدِ فَلَا شَيْءَ لَهُ» قَالَ صَالِحٌ: وَأَدْرَكْتُ رِجَالًا مِمَّنْ أَدْرَكُوا النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَبَا بَكْرٍ إِذَا جَاءُوا فَلَمْ يَجِدُوا إِلَّا أَنْ يُصَلُّوا فِي الْمَسْجِدِ رَجَعُوا فَلَمْ يُصَلُّوا*

*Hazrat Swaleh Maula Tawama Ne Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Ki Hai Aap Farmate Hain Ke Rasul Allah ﷺ Ne irshad Farmaya Ke Jisne Masjid Mein Namaz E Janaza Padhi Uske Liye Koi Ajr Wa Sawab Nahi Hai Raawi e Hadees Hazrat Swaleh Farmate Hain Ke Main Ne Bahut Se Aise Logon Ko Jinahun Ne Nabi Karim ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ko Paya dekha Hai Jab Wo Namaz e Janaza Ke Liye Tashrif Laate Aur Unko Namaz e Janaza Ke Liye Masjid Ke Alawa Koi Aur Jaga Na Milti Tu Wo Wapis Chale Jaate Thy Aur Namaz e Janaza Masjid Mein Nahi Padhte Thy !*

📕 *Musnad e Abi Tiyalisi vol  04 Page 71,72*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites