Abu Hurrairah Ka 60 Hijri Se Panah Maangna ❖ Post:-06 ❖

بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Acche Kaam Ko Jurm Samjha Jayga Shariat Ko Chodke Apni Marzi Se Faisle Honge Wo 60 Hizri Se Shuru hoga*

*Hadees 05:* ويل للعرب من شر قد اقترب على رأس الستين تصير الأمانة غنيمة ،  والصدقة غرامة ، والشهادة بالمعرفة ، والحكم بالهوى

“Ahle Arab Kay Liye Us Se Sharr Hai Tabahi Wa Barbaadi Hai Jo Sinn 60 Hizri kay iktemam par aayaga, Jab Amanat Ko Maal E Ganimat Aur Sadqah ko Jurmaana aur Gawaahi Jaan Pahchaan Kee Bina Par Hogi Aur Faislah Khwaahish Kee Bina Par Hoga.

References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol 04, Pg : 530, Hadees : 8589)
Imam Hakim Farmate Hain ye Hadees Shaykhen Imam Bukhari Wa Muslim Ki Shart pe Sahih Hai.
(Imam Abdur Razzaq Al Mussanaf Vol :11,  Pg : 373, Hadees :20777)

*Hadees 06:* Imam Na’uym bin Hammad Marwazi (Al Mutwaffa 288 Hizri) ne Apni Kitab Kitabul Fitan me Hadees e Paak naql ki Hazrat Abu Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : ويل للعرب من شر قد اقترب على رأس الستين تصير الأمانة غنيمة والصدقة غرامة والشهادة بالمعرفة والحكم بالهوى.
Ahle Arab Ke Liye Us Sharr Kee Wajah Se Tabaahi Wa Barbaadi Hai Jo Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitam Par Qareeb Aa Chuki Hai, Amaanat Ko Maal-E-Ghanimat Aur Sadqah (Wa Zakaat) Ko Taawaan (Jurmaana) Khayaal Kiya Jaaega Aur Gawaahi (Shakhsi) Jaan Pahchaan Kee Bina Par Hogi Aur Faisalah (Zaati) Khwaahish Kee Bina Par Hoga.

References :
(Nu’aym Bin Hammad Fi Kitab Ul Fitan Pg : 427/28, Hadees :1967)
(Al Jaam E Muammar bin Rashad, Baab Al Mahdi,Hadees : 1393)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Kitabul Fitan, Hadees : 8536)

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites