Abu Hurrairah Ka 60 Hijri Se Panah Maangna ❖ Post:-05 ❖

بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*Kya Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu Apni Marzi Se Ye Dua Karte The ?*

*Hadees 04 :*  تَعَوَّذُوا بِاللَّهِ مِنْ رَأْسِ السَّبْعِينَ وَإِمَارَةِ الصِّبْيَانِ Hazrat Abu Hurraira Ne Farmaya Rasoolullah Se Suna Kay 70 ki Duhayi Kay Aagaz Yaani (60 Saal guzarne Kay baad)  Se Nau Umr Ladko Ki Hukumat Se Panah Talab Karo.

References :
(Musnad Ahmad Vol :04 pg 313-14, Hadees 8302/8303)
(Mishqat Al Masabih, Hadees 3716)

 قال الهيثمي : رواه أحمد والبزار ورجال أحمد رجال الصحيح غير كامل بن العلاء وهو ثقة
Imam Haythami  likhte hai Imam Bazzar Aur Imam Ahmad Kay Raavi Sahih Hai
(Mazma Uz Zawaid Vol : 07, Pg : 450)

Is Hadees e Paak ki Shara Me Imam Mullah Ali Qari Hanfi Rahmatullah Alaih Likhte Hai

ي ومن حكومة الصغار الجهال كيزيد بن معاوية ، وأولاد الحكم بن مروان ، وأمثالهم وأغرب

*Tarjuma :* Ye Nau Umr Ladke Yazeed bin Mauviya, Marwan ibn Hakam aur unhi kay saathi hain
(Mirkat Al Masabih Shara E Mishkat, Kitab Al Imarat, Hadees : 3716)

Jaari...Hai...In...Shaa...ALLAH

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites