HUZUR ﷺ KI AMAN-PASANDI
Iske Bad Huzur ﷺ Ne Quraish Ke Pas Khat Lekar Ek Qasid Bheja Aur 3 Sharte Pesh Farmayi Ke Inme Se Koi Ek Shart Manzoor Kar le..
Bani Khuza'aa Ke Maqtoolo Ka Fidya, Muafza Diya Jaye...*
Quraish Qabeela-E-Bani Baqar ki Himayat se Alag Ho Jaye...*
Elaan Kar Diya Jaye ki Hudebiya Ka Muahida Toot Gaya hai...*
Jab Huzur ﷺ Ke Qasid Ne In Sharto ko Quraish ke Samne Rakha To Kurta Bin Abd Amar Ne Quraish Ka Numainnda Bankar Jawab Diya Ki *Na Hum Maqtoolo Ke Khoon ka Muafza Denge,Na Apne Haleef Qabeela-E-Bani Baqar ki Himayat Chorenge,Haan Teesri Shart Hume Manzoor hai Aur Hum Elaan Karte hai ki Hudebiya ka Muahida Toot Gaya* Lekin Qasid ke Jane ke Bad Quraish ki Apne Is Jawab Par Nadamat Huyi...
Chunache Kuch Ameer-E-Quraish Abu Sufyan ke Pas Gaye Aur Ye Kaha ki Agar Ye Muammla Na Suljha To Fir Samaje Ki Muhammad(ﷺ) Humpar Hamla Karenge, Abu Sufyan ne kaha ki Meri Biwi Hinda Binte Utba Ne Ek Khawab Dekha Hai Ki *Maqame HUZOON Se Maqame KHANDAMA Tak Ek Khoon Ki Nehar Behti Huyi Aayi hai Fir Nagha Woh Khoon Gayab ho Gaya..*
Quraish Ne Is Khawab Ko Nihayat hi Manhoos Samja Aur Khouf-O-Dehshat Se Saham Gaye Aur Abu Sufyan Par Bahut Zyada Dabaw Dala ki Woh Fouran Madina Jakar Muahida-E-Hudebiya ki Tajdid Kar le....
(Zurqani, Jild-02, Safa-292)
CONTINUE....

No comments:
Post a Comment