_*◻ Part -- 01,*_

_*🌀 Hazrat Khizr Alaihissalam 🌀*_
--------------------------------------------------------

*Riwaytein* To Aapke Baare Me Beshumar Hain Magar Aapki Wiladat Aur Haalat Par Zyada Malumat Kitabon Me Darj Nahin Hai, Ek Riwayat Ke Mutabik Aapka Naam Baliya Ibne Malkaan Kunniyat Abul Abbas Aur Laqab Khizr Hai, Hazrat Zulkarnain Saam Bin Nooh Alaihissalam Ki Aulaad Hain Aap Hazrat Ibraheem Alaihissalam Par Imaan Laayein Yaani Unki Tayeed Ki, Aapka Laqab Khizr Hone Ki Wajah Ye Batayi Jaati Hai Ki Aap Jahan Baith Jaate Wahan Sabza Ug Jaata Isliye Aapko Khizr Ya Sabz Kaha Jaane Laga, Aapke Anguthe Me Haddi Nahin Hai Aur Unka Angutha Misl Baaki Ungliyo Ke Barabar Hai Aur Mashhoor Hai Ki Ek Musalman Se Uski Poori Zindagi Me Aap Ek Martaba Musaafa Zaroor Karte Hain, Aapne Apne Baad Ke Taqriban Har Nabi Wa Zyadatar Auliya Se Mulaqat Ki Hai.

_*📕 Rijalul Gaib, Safah 134-141*_

*Aalahazrat* Azimul Barkat Raziyallahu Taala Anhu Farmate Hain Ki Chaar Nabi Ab Bhi Zinda Hain Hazrat Eesa Alaihissalam Aur Hazrat Idrees Alaihissalam Ye Dono Hazraat Aasman Par Hain Aur Hazrat Ilyas Alaihissalam Khushki Me Bhatak Jaane Waalo Ko Raah Dikhane Ke Kaam Me Aur Hazrat Khizr Alaihissalam Paani Me Bhatak Jaane Waalo Ko Raah Dikhane Ki Khidmat Me Muallaq Hain, Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Se Aapki Mulaqat Saabit Hai.

_*📕 Almalfooz, Hissa 4, Safah 40*_

*Aapka Naam To Quran Me Zaarihan Nahin Likha Hai Magar Aapke Mutalliq Ishaara Zaroor Hai, Surah Kahaf Aayat 65 Ke Baad Aapke 2 Safar Ka Tazkira Hai Pahla To Hazrat Moosa Alaihissalam Se Mulaqat Ka Aur Doosra Hazrat Zulqarnain Ke Saath Aabe Hayaat Ka Safar Karna Aur Use Peekar Hamesha Ki Zindagi Pa Lena, To Chaliye Isi Safar Se Shuruaat Karte Hain ~*

*Ab* Tak 4 Aise Baadshah Guzre Hain Jinhone Poori Duniya Par Huqumat Ki Hai 2 Momin Hazrat Sikandar Zulqarnain Aur Hazrat Suleman Alaihissalam Aur 2 Kaafir Namrood Aur Bakhte Nasr, Aur Anqareeb Paanchwe Baadshah Hazrat Imam Menhdi Raziyallahu Taala Anhu Honge Jo Poori Duniya Par Huqumat Karenge, Jis Sikandar Ka Kissa Hum Logon Ne Duniyavi Itihaas Ki Kitabon Me Padha Hai Wo Sikandar Yunani Tha Jo Ki Kaafiro Mushrik Tha Magar Sikandar Zulkarnain Doosre Hain Aur Aap Saaleh Momin The.

_*📕 Alitqaan, Jild 2, Safah 178*_

*Hazrat* Sikandar Zulkarnain Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ke Zamane Ke The Aur Aap Hazrat Ibraheem Alaihissalam Par Imaan Laaye Aur Unke Saath Tawafe Kaaba Bhi Kiya, Chunki Hazrat Khizr Alaihissalam Bhi Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ki Baargah Me Haaziri Dete The Jahan Zulkarnain Se Hazrate Khizr Alaihissalam Ki Mulakat Huyi Aur Unki Sakhshiyat Ilmo Akhlaaq Ko Dekhkar Hazrate Zulkarnain Ne Unhein Apna Khaas Aur Wazeer Bana Liya, Hazrate Zulkarnain Ne Kitabon Me Padha Tha Ki Aulade Saam Me Se Ek Shakhs Aabe Hayaat Tak Pahunchega Aur Use Pa Lega, Jab Sikandar Zulkarnain Ne Ye Padha To Ek Azeem Lashkar Taiyar Kiya Jo Ki Magribo Shimaal Ki Jaanib Rawana Hua Aur Aapke Saath Aapke Wazeer Hazrate Khizr Alaihissalam Bhi Chale, Paani Ka Safar Khatm Hote Hote Wo Ek Aisi Jagah Pahunche Jahan Daldal Ke Siwa Kuchh Na Tha Aur Uspar Kashtiyan Bhi Na Chal Sakti Thi Magar Azm Ke Mazboot Hazrat Zulkarnain Ne Un Keechadon Par Bhi Kashtiyan Chalwa Di, Wahan Ek Jagah Unhein Keechad Me Suraj Doobta Hua Maloom Hua Wahan Se Nikalkar Wo Ek Aisi Waadi Me Pahunche Jahan Ek Qaum Aabad Thi Magar Wahan Ke Log Tahzeeb Aur Tamaddun Se Bilkul Khaali The, Jo Jaanwaro Ka Kachcha Gosht Khaate Unhi Ke Khaalo Ka Kapda Pahante Unka Na To Koi Deen Tha Aur Na Koi Mazhab, Aapne Un Logon Ko Deene Islam Ki Daawat Pesh Ki Jise Un Logon Ne Qubool Kar Liya Aur Phir Un Logon Ne Yajooj Majooj Ki Shikayat Ki, Ki Pahaad Ke Peechhe Se Ek Qaum Hum Par Hamla Karti Hai Jo Hamara Sab Kuchh Barbaad Kar Deti Hai Aap Hamein Us Zaalim Qaum Se Bachayein, Tab Hazrat Zulkarnain Ne Do Pahaado Ke Darmiyan Ek Deewar Qaayam Farmayi Wo Deewa Takriban 160 Kilometer Lambi 150 Fitt Chaudi Aur 600 Fitt Oonchi Hai,Isko Sidde Sikandari Kaha Jaata Hai Ise Is Tarah Banaya Gaya Ki Pahle Paani Ki Tah Tak Uski Buniyaad Khodi Gayi Aur Tah Me Patthar Pighlaye Hue Taambe Me Jamaye Gaye, Phir Lohe Ki Takhti Chaaron Taraf Lagakar Uske Lakdi Aur Koyla Bhara Gaya Uske Neeche Aaga Lagakar Oopar Se Pighla Hua Taamba Uske Zarre Zarre Me Pahunchaya Gaya Is Tarah Sidde Sikandari Banakar Hazrat Zulkarnain Aabe Hayaat Ki Talaash Me Phir Se Nikal Padte Hain ( *Ye Wahi Deewar Hai Jise Yajooj Majooj Roz Todte Hain Yajooj Majooj Ki Poori Tafseel Aasare Qayamat Ki Post Me Aayegi In Sha ALLAH Taala* ) Ab Unke Lashkar Ka Rukh Waadiye Zulmaat Ki Taraf Ho Gaya Tha Waadiye Zulmaat Ko Paar Karke Poora Kaafila Us Jagah Pahuncha Jahan Sirf Andhera Hi Andhera Tha, Us Andhere Me Poora Kaafila Kayi Dino Tak Bhatakta Raha Aur Titar Bitar Ho Gaya, Hazrat Khizr Alaihissalam Ko Ek Jagah Pyas Lagi Aap Ek Chashme Par Pahunche Wahin Gusl Kiya Wuzu Kiya Khoob Sairab Hokar Paani Piya Yahi Chashma Aabe Hayaat Tha, Jise Hazrate Khizr Alaihissalam Ne To Pa Liya Magar Kisi Aur Ke Muqaddar Me Na Tha So Sab Wahan Se Mayoos Laute Aur Aakhir Me Hazrat Zulkarnain Ko Shahre Babul Me Qaza Aayi.

📕 *Paara 16, Surah Kahaf, Aayat 83-99*
📕 *Paara 17, Surah Ambiya, Aayat 96*
📕 *Tafseer Khazayenul Irfan, S 362*
📕 *Rijabul Gaib, Safah 148--153*
📕 *Kya Aap Jaante Hain, Safah 188*
📕 *Tafseere Khaazin,Jild 4, Safah 204*
📕 *Zalzalatus Sa'at, Safah 12*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites