_*◻ Part -- 03,*_

_*🌀 Hazrat Khizr Alaihissalam 🌀*_
--------------------------------------------------------

*Phir Teeno Ek Basti Me Pahunche* Jahan Kisi Ne Bhi Inki Mehman Nawazi Nahin Ki Din Bhar Bhooke Pyase Poore Gaanv Me Chakkar Kaatte Rahe, Thak Haarkar Shaam Ko Basti Se Chalne Lage Aur Jab Gaanv Ke Baahar Pahunche To Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Dekha Ki Ek Makaan Ki Deewar Giri Jaati Hai, Aap Fauran Wahan Pahunche Aur Poori Mehnat Se Us Girti Huyi Deewar Ki Marammat Ki Aur Use Seedhi Kar Di Aur Unse Koi Ujrat Bhi Nahin Li, Ispar Hazrat Moosa Alaihissalam Phir Se Bole Ki Jis Basti Waalo Ne Hamare Liye Kuchh Bhi Nahin Kiya Aapne Bagair Ujrat Liye Unki Deewar Sahi Kar Di Kam Se Kam Ujrat To Le Lete, Ab Hazrat Khizr Alaihissalam Bole Ki Tumhara Uzr Poora Ho Chuka Hai Ab Tum Hamare Saath Nahin Rah Sakte Magar Jaate Jaate Un Teeno Ke Baatini Haalat Bhi Sunte Jao,

Pahli Wo Kashti Jo Maine Todi Thi To Wahan Ka Baadshah Bahut Hi Zaalim Hai Sabhi Kashti Waalo Ki Nayi Kashtiyan Chheenkar Apne Khazane Me Jama Kar Leta Hai, Agar Main Us Gareeb Ki Kashti Na Todta To Uski Kashti Bhi Usse Chhin Jaati Aur Uspar Rizq Ki Killat Aa Jaati Lihaza Jo Ehsaan Usne Humpar Kiya Tha Ki Bagair Ujrat Liye Dariya Ko Paar Karane Ka Ye Usi Ehsaan Ka Badla Tha Ki Kashti To Wo Phir Se Durust Kar Hi Lega,

Doosra Wo Nabalig Bachcha Jise Maine Qatl Kiya Uske Maa-Baap Momin The Aur Usko Bada Hokar Kaafir Hona Tha To Aulaad Ki Muhabbat Me Uske Maa-Baap Ka Imaan Khatre Me Pad Jaata Lihaza Unka Imaan Bachane Ke Liye Maine Use Qatl Kiya Aur Chunki Wo Bachpan Me Khud Bhi Ab Tak Kaafir Na Tha Lihaza Uspar Bhi Ehsaan Kiya,

Aur Teesri Ye Deewar Jo Maine Durust Ki To Ye Ghar 2 Yateem Bachchon Ka Hai Is Deewar Ke Neeche Inke Baap Ne Jo Ki Nek Aadmi Tha Inke Liye Kuchh Rupya Paisa Chhoda Hai Agar Ye Deewar Gir Jaati To Wo Khazana Khul Jaata Aur Gaanv Waale Sab Lootkar Le Jaate Ab Bachche Jab Bade Ho Jayenge Aur Apna Ghar Marammat Karayenge To Unka Khazana Unko Mil Jayega, Phir Hazrat Moosa Alaihissalam Wahan Se Wapas Laut Aaye.

_*📕 Paara 15, Surah Kahaf, Aayat 60-82*_
_*📕 Tazkiratul Ambiya,Safah 331*_

*Waise To Ye Poora Waqiya Hi Quran Me Darj Hai Magar Iske Aakhiri Ki Jumlo Par Kuchh Tawajjoh Dilana Chahta Hoon, Rub Taala Farmata Hai -*

*KANZUL IMAAN* - Aur Unka Baap Neik Aadmi Tha.

_*📕 Paara 16, Surah Kahaf, Aayat 82*_

*TAFSEER* - Un Do Bachcho Ka Naam Adram Aur Suraim Tha Aur Unke Baap Ka Naam Kaasikh Tha Aur Ye Shakhs Neik Parhezgar Tha, Riwayat Me Aata Hai Ki ALLAH Taala Apne Bande Ki Neki Ke Sabab Uski Aulaad Ko Aur Uski Aulaad Ki Aulaad Ko Aur Uske Kunbe Waalo Ko Aur Uske Muhalle Waalo Ko Apni Hifazat Me Rakhta Hai

_*📕 Khazayenul Irfan, Safah 361*_
_*📕 Ruhul Bayan, Paara 16, Safah 477*_

*Ek Taraf To Quran Aur Hadees Me Ye Likha Hai Ki Baap Ki Nekiyan Aulaad Ke Kaam Aati Hain Magar Wahin Doosri Taraf Kuchh Logon Ka Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ke Baare Me Ye Kahna Hai Ki "Huzoor To Apni Beti Ke Bhi Kaam Nahin Aa Sakte To Wo Apne Ummatiyon Ko Kis Tarah Bachayenge Maaz ALLAH" To Un Kamzarfon Se Sirf Itna Kahna Chahunga Ki Ye Baat Tum Apne Aur Apne Baap Daada Ke Liye Kah Sakte Ho Ki Mere Aaqa Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Tumhari Aur Tumhare Baap Daada Ke Kaam Nahin Aayenge, Aur Kaam Nahin Aayenge Se Muraad Ye Nahin Ki Wo Kaam Nahin Ayenge Balki Ye Ki Tumhari Auqaat Unse Madad Lene Ki Nahin Rahegi Lihaza Wo Tumhare Kisi Kaam Nahin Aayenge, Magar Hum To Unke Ghulam Hain Unke Ummati Hain Unke Bande Hain Hamara To Har Kaam Unhi Se Banta Hai Aur Unhi Se Banega Yahan Bhi Aur Wahan Bhi In Sha ALLAH Taala Lihaza Wo Hamare Kaam Aayenge Aayenge Aayenge,Baaki Ki Tafseel "Shafa'at" Ki Post Me Mulahza Karen*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites