【Part~ 10】★ Ilme Gaib e Mustafa ﷺ ★ ✔

Hadees No. 13

Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Rasoolullah ﷺ ke sath lashkar mein Aankh dukh jane ki wajah
se shareeq na ho sake the to Hazrate Ali
ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ne farmaya ki main Huzoor ﷺ ke sath lashkar mein shaamil hone se rah gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor ﷺ ke sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hai ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah ﷺ ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung mein fatah naseeb farmayega, farmate hai ki achanak hamari mulaqat Hazrate Ali ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se hui halanqi hume inki aane ki koi ummeed na thi fir Rasoolullah ﷺ ne jhanda inhe ataa farmaya aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb farmayi.

»» Sahih Bukhari Jild 1 safa 525
»» Sahih Muslim Jild 2 Safa 278

➡ Maloom ye chala ke

 1 Huzoor ﷺ ba-ataa e Ilahi jaante the ki sawere ko Qila e Khaibar fatah ho jayega.

2⃣ Aap ﷺ ye bhi jaante the ki Hazrate Ali ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ jo lashkar mein shaamil hone se rah gaye hai wo aayenge aur ye fatah inhi ke haath par hogi.

●Ye Khud Shaheed Hain Bete Nawase Pote Shaheed
●Ali Ki Shaan E Yagana Huzoor Jaante Hain


◎To Be Continue......◎
_____________________________________




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites