【Part~ 12】★ Ilme Gaib e Mustafa ﷺ ★

✔ Hadees No. 15

Hazrate Jaabir ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ek safar se wapas tashreef laye Jab Aap ﷺ Madeene Shareef ke kareeb hue to ek hawa aisi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko dafn kar degi Rasoolullah ﷺ ne farmaya ye hawa ek munafiq ki mout par bheji gayi hai . Raawi kahte hai ki jab Madeena shareef aaya to waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha

»» Mishkat Babul Mojezaat Safa 536

Yaani Rasoolullah ﷺ ne raaste mein hi apne As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq mar gaya hai
Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo munafiq Rifa'a Ibne Duraid Tha

●Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba'eed-O-Qareeb.
●Gaib Ki Khabare Dene Waala Allah Ka Wo Habeeb.

◎To Be Continue......◎
_______________________________________




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites