【Part ~13】★ Ilme Gaib e Mustafa ﷺ ★

✔ Hadees No.16

Hazrate Abdullah Ibne Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se marvi hai ki ek baar Hazrate Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ne jehaad ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya Naam ke ek sahab
ko banaya to jis waqt Hazrat Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Masajide Nabawi Shareef mein khutba de rahe the to Zor Se farmaya Aye Saariya Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne arz kiya Aye Ameerul Momineen hum jung kar rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha Aye Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne piche lekar jung ki yahan tak ki dushman ko shikast dedi

»» Mishkat Babul Karamat Safa 546

➡ Yaani Hazrat Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Madeena Tayyabah mein Masajide Nabawi Shareef ke andar khutba dete hue Hazaaro Meel par waaqe Nahawand mein maidane jung ko mulahiza farma rahe the aur Ye Hazrate Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Huzoor ﷺ ke sahabi hai to jab Huzoor ﷺ ke gulamo ke Ilme Gaib ka ye haal hai to khud Huzoor ﷺ ke Ilme Gaib ka Aalam kya hoga ?

● Chahe To Ishaaro Se Apni Kaaya Hi Palat De Duniya Ki.
●Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki To Sarkar Ka Aalam Kya Hoga.

◎To Be Continue......◎
_______________________________________




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites