【Part~ 16】★ Ilme Gaib e Mustafa ﷺ ★

✔ Hadees No. 19

Hazrate Ayesha ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ se marvi hai ki Nabi E Paak ﷺ jab Aleel (bimar) hue to Hazrate Fatima ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ haazir hui aur Aap ﷺ par jhuk gayi Aap ﷺ ka bosa
liya fir sar uthaya aur Ro padi. Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi . Hazrate Ayesha ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ kahti hai ki maine dil me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to Aam aurato ki tarah hai
Jab Huzoor ﷺ ka wisaal ho gaya to Maine inse maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E Kareem ﷺ par jhunki aur sar uthaya to ro rahi thi fir dobara jhunk kar sar uthaya to hans rahu thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hu . Huzoor ﷺ ne mujhko bataya ki mera isi marz se wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi to main Hand padi


»» Tirmizi Jild 2 Safa 227
»» Mishkat Sako ko fa 568
(Yahi Hadees ●Bukhari aur ● Muslim dono mein hai )

➡ Yaani Huzoor ﷺ ne Hazrate Fatima ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya  ki main is marz mein duniya se chala jaunga aur Hazrate Fatima ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ ke wisaal se bhi ki Ahle Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur waqayi Hazrate Fatima ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ Huzoor ﷺ ke baad sirf 6 Maah Duniya mein rahi.

● Main Unki Baat Karu Kya Ye Nahi Meri Aukaat
●Ke Shaane Fatima Zahra Huzoor Jaante Hai


◎To Be Continue......◎
_______________________________________

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites