【Part~ 21】★ Ilme Gaib e Mustafa ﷺ ★

✔ Hadees No. 24
Hazrate Abu Hurairah ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se marvi hai ki Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor ﷺ ki khidmat mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh
kiya gaya Aap ﷺ ne Irshaad farmaya yahan jo yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama kar diya gaya Huzoor ﷺ unse farmaya Agar Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge Unhone kaha Haan Aye Abul Qasim ! Huzoor ﷺ ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone kaha hum falan ki Aulad hai Aap ﷺ ne irshad farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha kehte hai .Fir Huzoor ﷺ ne farmaya agar main tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge Huzoor ﷺ Farmaya tum hi isme Zaleel hone wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi jayenge Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya Agar main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ? Bole haan. Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage haan milaya Aap ﷺ ne farmaya aisa tumne kyu kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap ko Nuqsan Nahi pahochayega

»» Bukhari Jild 2 Safa 859
»» Mishkat Safa 543

➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne Rasoolullah ﷺ ko gaib ka ilm ataa farmaya hai isi liye Aap ﷺ bakri mein zaher ko jaan liya aur in logo ne Aap ﷺ ka imtihaan lene ke liye Apne Baap ka Naam galat bataya to wo bhi Aap ﷺ ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In Yahoodiyon ko bhi Aap ﷺ ki Sachai aur Ilme Gaib par yakeen tha isi liye un logon ne kaha ki Agar Hum Jhoot bolnege to Aap jaan jayenge

●●Yahoodiyon ko Huzoor ﷺ ke ilme Gaib par itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam nihaad muslaman bad aqeeda log aitraz karte hai Allah aise Imaan ke lutero se hamari hifazat farmaye ●●


◎To Be Continue......◎
_______________________________________

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites