【Part :32】🌹HAYAT-UN-NABI ﷺ🌹

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🎯Wahabi Aiteraz 2)
Ye To Darood padhne ki baat Insaan sota bhi to hai ek na ek waqt aysa aata hai jab koi Durood nahi bhejta hai us waqt kya ?.

🔰Ans..
Tum wahabi sach me aqal k andhe ho tumhe Kabhi Nabi-e-Karim Sal Allahu Alaihi Wassalam ki shaan-o-azmat hazam nahi hogi sun lo Hadis koi ek waqt bhi aysa nahi hai jab Nabi pe koi salam nahi padhta jabki Quran me saaf saaf aayat hai salam k talluk se magar tum maanoge nahi ye lo is
Hadees ko bhi padh lo

“Hazrat Nabeeh Bin Wahab radi allahu anho se marvi hai ki Hazrat Ka'ab Abhaar Radiallaha anho Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddika ki khidmat me haazir hue aur unhone Huzur-e-akram alaihih salam ka zikar kiya..

Hazrat Ka'ab Abhaar Radiallaha anho ne kaha
“Jab bhi din nikalta hai 70'000 hazar farishte utarte hai aur wo Huzur-e-Akram ki kabar-e-aqdas ko gher lete hai aur Kabar-e-Aqdas pe apna par maarte hai

yaani paro (wing's) se jhaado dete hai aur Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam k roze-e-aqdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr-e-Mubarak shak hogi to Huzur Sal Allahu Alaihi Wassalam 70'000 farishto k jhurmut me (maidan-e-hashr me) tashreef laaynge..

📝Refrence.
Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 1page 57 Hadis 94)

Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild 5 page 390..

Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 3 page 1018, Hadis :537)

Ghair mukallido k imam ibn kathir ne Tafseer ul Quran

al azeem tafseer ibn kathir me Jild 5 page no 518)

ab bhi koi aysa waqt hai jo khali hai durood se ? ALLAH tumhe Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam ki azmat samajhne ki taufeeq de..


🔃To Be Continue....
___________________________

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites