POST 06

🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 10

Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem ﷺ unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor ﷺ ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor ﷺ ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor ﷺ ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Tum thik karti ho .

📙 Mishkaat Safa 517

➡  Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa ﷺ ki Anokhi Shaan hai ki Aap ﷺ ka Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap ﷺ Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi

🌴  Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool  🌴

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites