Ramzan ki Fazilat: Part – 2

★ Ramzan Ki Fazilat kya hai ?
*Waise Tou Ramzan Ki Fazilatey Beshumar Hai Lekin Tamam Fazilatey Iss Mukhtasar Se Wakt Me Humare Liye Ginwana Mushkil Hai ,.. Lihaja Hum Iss Unwaan Me Chand Aham Fazilato Ka Hi Zikr Karne Wale Hai ?.

★ 1st – FAZILAT: Iss Mahine Ko Farz Ibadat Ke Liye Muntakhib Kiya:
*Tou Sabse Pehli Ahmiyat Iss Mahine Ramzan Ki Ye Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine Ko Apni Farz Ibadat “Roze” Ke Liye Intekhab Kiya,..
Bus Yahi Samjhne Ke Liye Kaafi Hai Ke Iski Fazilat Kya Hai ?

♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke:
Hazrate Abdullah Bin Umar (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya –
“Islaam Ke Sutoon Paanch (5) Hai,..”
(1). Pehla Ye Ke Allah Hi Ki Ibadat Ki Jaye Aur Uske Siwa Tamaam Jhoote Khudao Ka Inkaar Kiya Jaye,
(2). Namaaz Parhna,
(3). Zakaat Dena,
(4). Baitullah Ka Hajj Karna, Aur
(5). Ramzan Ke Roze Rakhna ,…
– (Sahih Muslim Sharif)

*Tou Islam Me Asal 5 Faraiz Ibadat Hai Jisme Se “Roza” Bhi Ek Farz Ibadat Hai,. Aur Isi Ibadat (Roze) Ke Liye Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine (Ramzan) Ka Intekhab Kiya Yehi Ek Badi Aham Fazilat Hai ,..
.. Tou Hume Chahiye Ke Iss Farz Ibadat Ko Khushu Aur Khuju Ke Sath Takmeel Tak Pohchaye Taa’Ki Ye Jeddo Jehad Humare Liye Bayase Maghfirat Ho!!

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey !!!

To be Continue …

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites