Ramzan Ki Fazilat: Part – 6

★ 8th – FAZILAT – Ramzan Ke Mahine Me Allah Har Raat Logon Ko Jahannum Se Azad Karta Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke –
“Allah Rabbul Izzat Ramzan Ki Har Raat Logon Ko Jahannum Se Aazad Karta Hai,.” – (Muslim Sharif)

….Yaani Wo Log Jo Jahannumi Aamal Kartey They Jo Burey Log They ,.. Is Mahine Acche Aamal Kar Ke Apne Rab Ko Raazi Kar Letey Hai Aur Raazi Kar Ke Apne Aap Ko Jahannum Se Bacha Letey Hai Aur Unka Rab Muaf Kar Deta Hai Unhe ,…

….Matlab Ye Mahina Magfirat Ka Mahina Hai Tou Acche Aamal Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo Apne Rabb Se Yahi Ailaan Hai Iska ….
* * * * *

★ 9th FAZILAT – Rozedaar Ka Shumaar Shohda Aur Swaleheen Me Hoga
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kaha Ke –
“Aye Allah Ke Rasool! Agar Mai Gawahi Du Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Barhaq Nahi,.. Aur Namaz Qayam Karu, Aur Roza Rakhu Tou Mera Hisab Kin Logon Ke Sath Hoga ?”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke – “Agar Tu Yeh Tin (3) Kaam Par Add Jaye Tou Tera Hisab Shohda Aur Swaleheen Ke Sath Hoga” – (Ibne Hiban)

* * * * *

…. Beharhaal Ye Chand Fazail They Jo Humne Aapki Khidmat Me Mukhtasar Sa Rakhne Ki Koshish Ki…

# Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Ata Farmaye ,..
* Hum Tamam Ko Aaneywale Ramzan Ko Sahi Tareeke Se Manaane Ki Taufiq Dey,..
* Iss Ramzan Ko Humari Zindagiyo Ko Tabdil Karne Wala Bana Dey,..
* Iss Ramzan Ka Sahi Fayda Aur Taqwa Ikhtiyar Karne Ki Allah Rabbul Izzat Hume Taufiq Dey …
* Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
* Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!🔚

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites