*AHLE BAIT PEHLE JANNAT MEIN* ➡Post-17

🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...

      Mafhume Ahaadis...
🔻Sitaare aasmaan walon k liye aman ka sabab hai or Mere Ahlebait zamiin walon k liye aman ka sabab hai...Mere Ahlebait ummat k liye aman ka sabab hai.

🔻Jo shakhs wasila haasil karna chaahta hai or ye chaahta hai k Meri baargaah me uski koi khidmat ho jis k sabab Mein qayamat k din uski shafa-at karun...To...Use chahiye k mere Ahlebait ki khidmat kare or unhein khush karein.

🔻Jo bhi is baat ko pasand karta ho k uski umar lambi ho uski aarzuein puri ho to use Mere baad Mere Ahlebait se achchi tarah pesh aana chaahiye..
      Or jo Mere baad unse achchi tarah pesh nahi aayega uski umar khatm kar di jayegi or qayaamat k din is haalat me Mere paas aayega k uska chehra kala ho jaayega.

🔸AalaHazrat..alyhirrehmah...
      arz karte hain...
      Paar-haa-e suhuf..
      Ghuncha-haa-e qudus..
      Ahlebaite Nubuwwat..
      Pe laakhon salaam....

🔸Or Ustaade zaman Yun
      arz karte hai..
      Kis zaban se ho bayaane
      Izzo shaane ahlebait
      Mad-ha-goye Mustafa hai
      Mad-ha khwaane ahlebait

🔻Harate Ali ne baargaahe Risaalat me logon k hasad ki shikayat ki to...
      Aaqa ne irshad farmaya... Kya tum is baat par raazi nahi k tum chaar mese chothe ho ...?...Sabse pehle jannat me Mein..Tum..or Hasnain kariimain daakhil honge...
     Hamaari azwaaje mutahharaat ( biwiyaan ) hamare sidhe or ulte taraf hongi or hamaari awlaad hamaari azwaaj k piiche hongi.

..SUBHAANALLAAH...

*📚AL SHARFUL MUAIYAD...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites