* Hazrate sa'ad raziyallahu taala anhu se marvi hai ki huzur sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jo shakhs jaanbujhkar kisi doosre ko apna baap bataye uspar jannat haraam hai
📕 Bukhari shareef, jild 2, safah 1001
📕 Muslim shareef, jild 1, safah 57
📕 Kanzul ummal, jild 6, safah 195
* Jo kisi dusre ko apna baap bataye uspar allah uske farishte aur tamam insano ki laanat hai
📕 Muslim shareef, jild 1, safah 465
Ab aap soch rahe honge ki aesa kaun karta hai jo apne baap ko chhodkar kisi dusre ko apna baap kahe, magar haqeeqat to ye hai ki aaj kal aisa bahot saare log karte hain aur is par bahot fakhr mehsus karte hain, chaliye dekhte hain kaise
waise to hindustan me saiyad, pathan, shaikh,aur muglo ko chhodkar musalmano ki zyadatar jitni bhi cast hai sab yahin ke kafiro se converted hai, jinka naam aur wajood kuchh nahi hai magar chunki naam se mansubiyat ek kadeem zamane se chali aa rahi hai to yahi ab har kaum ki pehchan ban gayi hai maslan ansari, mansoori, quraishi, siddiqui, raayin, rehmani, salmani wa deegar jo bhi ho,magar aajkal hamare yahan biradri badalne ki najayaz nuhusat bahut aam ho chali hai, kisi backword cast ka koi shakhs kisi mohalle ya shaher me rehta hai to kuchh hai aur jahan koi nayi jagah settle hua to fauran apni cast badal li maslan ansari saiyad ho gaye, mansoori khan ho gaye, salmani siddiqui ho gaye aur ye nahi socha ki aesa karke hum kya kar rahe hain, main aapse puchhta hun aap bataiye ki agar maa saiyad hai aur baap mansoori to bachche ki cast kya hogi, zahir si baat hai ki bachcha saiyad to ho nahi sakta kyunki nasl hamesha baap se chalti hai, ab agar koi mansoori apne apko saiyad likhne lage to iska kya matlab hoga jante hain maaz allah summa maaz allah ye ki usne apni hi maa par zina ka ilzaam lagaya ki uski maa ne kisi saiyad se zina karaya jisse ye paida hua tab hi to apne apko saiyad likh raha hai, yahi us hadeese paak ka mafhum hai ki log jaanbujhkar apne waldiyat gair ki taraf mansub karenge, aur aesa kyun kiya jata hai, sirf aur sirf thodi si izzat paane ke liye ki chhoti cast wale hokar jo zillat uthani pad rahi thi to apne apko badi cast wala kehlana shuru kar diya, mere azeezo allah ke yahan zaat nahin dekhi jaati uske yahan sirf nek amal chalta hai jaisa ki khud irshad farmata hai ki
* Beshak allah ke yahan tumme zyada izzat wala wo hai jo zyada parhezgar hai
📕 Paara 26,surah huzraat,aayat 13
Bataiye rab to ye keh raha hai aur insan hai ki apna baap badalkar izzat paane ki koshish me laga hai, lihaza agar koi aesa kar raha hai to fauran tauba kare aur jo uski haqeeqat hai wo bataye alhamdo lillah main khud mansoori hun aur yahi batata hu aur jo koi mansoori nahi samajh pata use main behna kehkar apna tarruf karwata hu aur mujhe is baat par koi sharm mehsus nahi hoti, kyunki allah ne jiske liye jo behtar samjha use wo banakar paida farma diya, to ab rab ke kaam par aetraz kyun jo usne bana diya use khushi khushi tasleem kijiye, aur rahi baat izzat ki to duniya wale nahi samajhte to na samjhe magar kam se kam apne aamaal sudhar kar aakhirat to achchi bana lijiye ki wahan to izzat mile yaad rakhye jiske amal kharab honge wo kisi tarah kamyab nahin ho sakta jaisa ki hadeese paak me aata hai huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki
* jiska amal use peeche dhhkel de wo nasb se aage nahi badh sakta
📕 Muslim shareef, jild 2, safah 345
lihaza biradri badalkar izzat pane ki hawas chhod dijiye, ab aaiye is par ki kya ek aurat shadi ke baad apne naam ke sath shauhar ka naam jod sakti hai ki nahin,to sabse behtar to yahi hai ki ladki sirf apna naam likhe shaadi se pehle bhi aur baad ko bhi, lekin agar koi ladki apna naam badalti bhi hai to isme 2 batein hain maslan aurat ka naam saleha khan hai baap ka naam azmat khan hai ladki apna naam saleha azmat likhti hai, ab uski shadi hui naseem siddiqui ke sath, to ab wo agar apna naam saleha naseem likhti hai to koi harz nahi kyunki ye nasb badalna nahi hua balki shauhar se mansubiyat hui lekin agar saleha naseem ki jagah saleha siddiqui likhti hai to ye najayez hai ki shadi karne se uska nasb nahi badla,lihaza naam waldiyat ke sath likhne ka jo riwaz hindustan me nahi hai use na hi apnaya jae to zyada behtar hai,yahan jo kuchh bhi likha hai saiyad, khan, ansari, mansoori wo sirf misaal ke tahet samjhane ki garz se likha hai koi ye na samjhe ki maine kisi kaum ko bura kaha hai, fir bhi agar kisi ko personally feel hua to main maafi chahta hun.
No comments:
Post a Comment