*【POST 105】Bareli Sharif Se Mumbai Tak Safar.* 💫

📌 *Bareli Station Se Maine Ek Tar Apni Rawanagi Ka Mumbai Rawana Kia. Waha Sab Ne Yeh Khayal Kia Ke Shayd Hasan Miyan (Yani Ala Hazrat Mazdila Ke Manjle Bhai) Tashrif La Rahe Hai, Is Waste Ke Unka Sal E Ainda Me Irada Tha, Mera Kisi Ko Gumaan Bhi Na Tha, Garz Din Ke Din Tak Sab Ko Tazazub (Iztirab) Raha. Phir Mujhe Rasta Me Ek Din Ki Der Ho Gayi Ke Agar Pur Mil Nikal Gaya Aur Humari Gaid Ne Pessenger Ka Intzar Kia. Molvi Nazir Ahmad Sahab Ne Station Master Se Pucha Ke Humari Gadi Kat Kar Kyon Juda Kar Li? Kaha ; "Mil Rizru Na Tha Apko Pessenger Me Jana Hoga. Yaha Tka Ke Wo Din Aa Gaya Jis Roz Hujaz Mumbai Ke Qarantibnah Me Dakhil Hone Wale They Aur Main Us Waqt Tak Na Pohcha. Ab Shakht Mushkal Ka Samna Tha Ke Humare Log Qurtina Me Dakhil Ho Jayege Aur Main Rah Gyaya, Ab Jana Kyon Kar Hoga? Yeh Din Panjshanba (Yani Jumerat) Ka Hai. Taar Aa Chuka Tha Ke Panjshamba Ko Phara Hokar (Yani Josh Di Hui Dawale) Log Qarntina Me Dakhil Ho Jaye. Gadi Kat Jane Ne Yeh Takhir Ki Ke Mian Jumuah Ke Din Subah 8 Baje Pohcha. Station Par Dekha, Mumbai Ke Ahbaab Ka Hujum Hai, Haji Qasim Wagera Gardiyah Liye Maujud Hai.*


✨ _Salam Wa Musfa Ke Bad Pehla Lafz Jo Unhone Kaha Yeh Tha :"Shehar Ko Na Chale Sidhe Qarntinah Chale, Abhi Aapke Log Dakhil Nahui Hue Hai. "Main Shukr E Illahi Azwajal Bajalaya Aur Apne Logo Ke Sath ,Dakhil E Qarntina Huwa. Yeh Hadees Ki Unhi Dua Ki Barkat Thi, Ke "Gayi Hui Murad" Ata Farmai. Maine Waqiah Pucha. Waha Ke Logo Ne Kaha :Ajab Hai Aur Sakht Ajab ! Esa Kabhi Na Huwa Tha, Panjshamba Ko Roz E Mauaud (Muqara Din) Par Dr Aya Aur Adhe Logo Ko Bhipara Dia (Josh Di Hui Dawoodi) Ke Dafatan (Achanak ) Use Sakhat Gabrahat Paida Hui Aur Kaha Ke Baqi Ka Bhipara Kal Hoga, Yu Tumhare Log Baqi Rah Gaye._


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 224,225*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites