*【POST 106】Mumbai Se Sue Arab Rawanagi.* 💫

📌 *Ab Ek Aur Diqat Paish Ayi Ke Us Jahaz Ka Tikcket Bilkul Taqsim Ho Chuka Tha Jis Me Humare Log Jane Wale They. Ba Majburi Dusre Jahaz Ka Ticket Kharida Aur Wo Bhi Tisre Darje Ka Jis Ki Himat Aage Zahir Hogi Aur Hadeees Ki Duayein Pardi Ke "Sarkar ﷺ. Mujhe Apno Ka Sath Ata Farmaye,, Unse Chhut Kar Main Tanha Kyon Kar Hazir Hoga!"*


✨ _Talsh Ki Gayi Ke Is Jahaz Me Koi Sahab Ese Hai Jo Akele Jane Wale Ho Jinhe Yeh Aur Wo Dono Jahaz Barabar Ho. Maula Ta'la Ki Rehmat Ke Ek Bade Miyan Humare Hi Zila Bareli Muqam Bherdi Ke Sakin Mil Gaye Jinhone Bakhushi Ticket Badal Liya, Wo Us Jahaz Me Gaye Aur Main Ba Fazal E Ta'la Apne Sathiyon Ke Sath Jahaz Me Raha._


📌 *Sarkar ﷺ Ne Pehla Ticket Tisre Darje Ka Isliye Dilwaya Tha Ke Bade Miyan Milne Wale They Jinka Ticket Tisre Hi Darje Ka Tha, Un Se Tabdili Me Mali Nuqsan Na Ho. Bad E Qarntina Is Jahaz Par Sawar Ho Kar 125 Rule Dakhil Karke Awal Darje Ka Ticket Tabdil Kar Liya.*


💫 *Simat E Qibla Nikalne Me Ala Hazrat Allayrehma Ki Maharat.* 💫


📌 *Jab Adan Ke Qarib Jahaz Pohcha Main Namaz E Asar Pada Raha Tha.Namaz Me Ek Arabi Sahab Ki Awaz Mere Kaan Me Pohchi Ke Simt E Qibla Yeh Nahi Hai. Maine Kuch Khayal Na Kia Isliye Ke Main Muw Amara Bandiyah Se Adan Wa Kamaran Ki Simat E Qibla Nikal Chuka Tha. Wo Itni Der Ke Maine Namaz Padi Wazifa Pada, Bethhe Rahe. Jab Main Farig Huwa To Un Se Pucha :"Is Waqt Bataye Simat E Qibla Kis Taraf Hai Aur 5 Mint Pehle Kis Taraf Thi? " Aur Hisab Laga Kar Samjaya Ke Is Waqt Simat E Qiblahi Par Namaz Hui Jis Ko Unhone Bhi Taslim Karliya. Jab Kamran Aya To Qarntine Me Dakhil Hue , Waha 10 Roz Thheharna Huwa. Allah Ta'la Un Turki Karkuno Ko Jaza E Khair De! Hijaz Ko Esa Aram Dia Ke Logo Ko Maine Yeh Kahte Suna Ke Hajj Ka Waqt Qarib Hai Warna Kuch Din Bimar Rahte Aur Yaha Ke Aram Ka Lutaf Uthhate, Mumbai Me Kya Majaal Thi Ke Koi Is Ihata Se Bahra Qadam Rakhta. Ihata Ke Andar Har Baat Ki Rok Tok Thi. Hindu Sipayi Qasdan Hujaz Ko Tang Karte They.*


*📚 Malfuzaat-E-Aala Hazrat 225,226.*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites