ABU SUFYAN KI KOSHISH..
Continue....
Aakhir Me Abu Sufyan Ne Kaha ki Aye Ali ! Muammla Bahut hi Kathin Nazar Aata hai Koi Tadbeer Batao Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne Farmaya Ki Me Is Muammle Me Tumhe Koi Mufeed Ray to Nahi De Sakta Lekin Tum Bani Kinana Ke Sardar ho Tum Khud hi Logo ke Samne Elaan Kar Do Mene Hudebiya Ki Tajdid Kar di...
Abu Sufyan Ne Kaha ki Kya Mera Elaan Kuch Mufeed Ho Sakta hai ?? Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne Farmaya Ki Ek Tarfa Elaan Zahir hai Ki Kuch Mufeed Nahi Ho Sakta Magar Ab Tumhare Pas Iske Siwa Aur Koi Rasta Bhi Nahi hai, Abu Sufyan Waha se Masjide Nabawi Sharif me Aaya Aur Buland Aawaz Se Masjid me Elaan Kar Diya ke
*Mene Muahida-E-Hudebiya ki Tajdid Kar Di* Magar Musalmano me se Kisi ne Jawab Nahi Diya..
Abu Sufyan Ye Elaan Karke Makkah Rawana Ho Gaya Jab Makkah Wapas Pahucha To Quraish ne Pucha Ki Madina me Kya huwa ? Abu Sufyan Ne Sari Dastaan Bayan Kar Di To Quraish Ne Sawal Kiya Ki Jab Tumne Apni Taraf se Muahida-E-Hudebiya Ki Tajdid Ka Elaan kiya To Kya Muhammad (ﷺ) Ne Isko Qabool Kar Liya Abu Sufyan Ne Kaha ki *Nahi*, Ye Sunkar Quraish Ne Kaha ki Ye To Kuch bhi Nahi Huwa Ye Naa to Sulah Hai ki Hum Itminan Se Bethe Na Yeh Jung hai ki Ladayi Ka Samna Kiya jaye...
(Zurqani, Jild-02, Safa- 292, 293)
Iske Bad Huzur ﷺ Ne Logo ko Jung Ki Taiyari Ka Huqm De diya Aur Hazrate Bibi Ayesha رضي الله تعالى عنها Se Bhi Farma Diya Ki Jung Ke Hathiyar Durust Kar Le Aur Apne Haleef Qabeele Ko Bhi Jung Ki Taiyari Ke Liye Huqm Naama Bhej Diya Magar Kisi Ko Huzur ﷺ Ne Yeh Nahi Bataya ki Kisse Jung ka Irada hai Yaha Tak ki Aapne Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی الله عنہ Se bhi Aapne Kuch Nahi Farmaya...
Hazrate Abu Bakr Siddiq رضی الله عنہ Hazrate Bibi Ayesha رضي الله تعالى عنها Ke Pas Aaye Aur Dekha ki Jungi Hathiyaro Ko Nikal Rahi hai, To Aapne Daryaft Kiya ke Kya Huzur ﷺ Ne Huqm Diya hai ?? Arz Kiya ke *Jee Haan* Fir Aapne Pucha Ki Kya Tumhe Kuch Maloom hai Ki Kaha Ka Irada Hai Hazrate Bibi Ayesha رضي الله تعالى عنها Ne Kaha Ki *WALLAH MUJE YEH MALOOM NAHI*
(Zurqani, Jild-02, Safa-291)
Garaz Intehayi Khamoshi Aur Gazdari Ke Sath Huzur ﷺ Ne Jung Ki Taiyari Farmayi, Aur Maksad Ye Tha ki Ahle Makkah Ko Khabar Naa Hone Paye Aur Achanak Unpar Hamla Kar Diya Jaye....
CONTINUE....

No comments:
Post a Comment