```IMAAME HUSEN KO GHERNE K LIYE 1000 FAUJ K SATH HUR TAMIMI``` *```▶Post-52```*

🔻1 moharram ko jab Imaame Husen ne kohe ZiiHasham k qarib pohonch kar qeyaam kiya...Kheme ( tents ) gaad diye us waqt Hur tamimi 1000 k lashkar k saath Aapko giraftaar karne aa gaya...Aapne mukhtasar taqrir k zariye unko bataya k kis tarah koofa waalon ne muje bulaya...
       Aapki is taqrir k baad khaamoshi rahi kisine koi jawaab na diya...Aapne Hur se poocha k namaaz hamare saath padhoge ya alag padhoge...Hur ne kaha k Aap padhaein ham bhi Aap k piiche padhenge... Zohar or Asar ki namaaz saath hi padhi...

🔻Fir Aapne khaton ka zikr kiya k Mein yahan par bulaya gay hun..aaya nahi hun...Hur ne jawab diya ham un logon mese nahi jinhone Aapko khat likha hai...Hmko to hukm diya k Aap k saath rahun Aapko akela na chhodun...Yahan tak k ibne ziyaad tak Aapko pohncha dun.. Aapne farmaya Is kaam se aasaan tera mar jaana hai...Teri maa tuj par roye...Fir Aapne apne saathiyon ko chalne ka hukm diya..
       Hur ne kaha Aapki jaga koi or hota to mein bhi isi tarah uski maa ko kehta lekin Aapki waalida maajida ka zikar bhalaii k sath hi karunga...Lekin khuda ki qasam mein Aapko ibne ziyaad k paas le jaunga...

🔻Aapne farmaya...Khuda ki qasam aysa nahi hoga...Hur ne kaha mujhe aapse ladne ka nahi kaha bas Aapko koofa tak pohncha dun...
        Aap aysa karein aysa raasta apnaayein jo na madine ko jata ho or na koofa ko mein ibne ziyaad se baat kar k poochta hun... Aapko uski baat maaquul lagi...aysa hi kiya...Hur bhi chalta raha...

Ridwaanullahi taala anhum ajmaiin

*📚TAARIIKHE TIBRI...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*


No comments:

Post a Comment

Our Social Sites