↪PART- 02 *Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️*


*❇️ Roze Ki Niyyat Ke Masail ~*
🌟Masla- Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu'aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat Ka waqt gurube aaftab se Zuhuwe Kubra(shuru zawaal) Tak Hai.

🌀Masla- Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) Niyyat Ka Waqt Nahin Balke isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra ke waqt Niyyat Ki to Rozah Na hua.

🌟Masla- Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai,Zubaan Se Kehna Shart Nahi Magar Zubaan Se Keh Lena Mustahab Hai.

🌀Masla-Agr rat me niyyat kare to ye kahe

نویت أن أصوم غدا لله من فرض رمضان هذا

🌟Aur din me niyyat kare to yun kahe

نویت أن اصوم هذا اليوم للہ تعالى من فرض رمضان

🌀Masla- Raat me Niyyat ki phir uske baad raat hi me khaya piya to Niyyat Nahi Gayi, wahi pehli hi niyyat kaafi hai phir niyyat karna zaroori nahi.

🌟Masla- Din Mein Niyyat Kare To zaroori hai ke Niyyat kare k main subha sadiq se rozahdar hu agar ye niyyat hai ke abse rozahdar hu subha se nahin to roza na hua.

📕Fazail Wa Masaile Ramzaanul Mubarak

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites