【Part 09-A 】 ☪FAZAIL E DUROOD O SALAAM☪


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

💟DUROOD E PAAK NA PADHNE K YA BAKHILI KARNE K NUKSAANAT

☀Aaj kuch aise log bhi hai k unhe Durood e paak padhne kahdo to unka hazmaa bigad jaata hai wo jarur dhyan de yaha

✳Hadees 22 :

🎯Hazrat Jaabir bin Abdullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k Rasool E Karim ﷺ Ne Farmaya "Jisne Maahe Ramzan ko Paaya aur Iske Roze Na Rakhe wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,

✳Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek
Ko Paaya aur Unke Saath Accha Sulook Na Kiya  wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,

Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,"

📜(Majma Ul Zawaid - Vol 03, Pg : 340, Kitab-us-Saum,Hadees : 4773)

✳Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k Rasool E Karim ﷺNe Farmaya "Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha,

Halaak Ho Wo Shaks Jisne Maahe Ramzan ko Paaya Aur Apni Magfirat Na Karwali,

✳Halaak Ho Wo Shaks isne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Unki Khidmaat kar Jannat Na Paa Li”

📜(Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3545)

🎯Hadees 23 :

✳"Jo Log Apni Majlis Me Allah Ka Zikr Kare Aur Nabi E Paak ﷺ Par Bina Durood Padhe Uth Gaye To Wo Badbudar Murdaad Se Uthe"

📜(Imam Bayhaqi - Vol 02 Pg : 210 Hadees : 1070)

🔰 To Be Continue.......

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites