↪PART- 10 *Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️*


*⚠Rozah Todne Wali Cheezon Ka Bayan*
🌀Masla- Janbhujhkar Munh bhar Ulti ki to Rozah toot gaya.

🌟Masla-Be ikhtiyar bhar munh ulti ho gayi phir use nigal gaya rozah toot gaya.

🌀Masla-Ye gumaan tha ke subah nahi hui aur khaya ya piya, baad ko malum hua k subah ho chuki thi rozah na hua.

🌟Masla-Ye gumaan tha k Aaftab doob gaya aur iftar kar liya baad ko malum hua k na dooba tha to rozah na hua.

🌀Masla-Jiska rozah toot gaya maslan galti se pani wagairah koi cheez halaq mein ja rahi to jo, kuch din baaki reh gaya use roze ki tarah guzarna wajib hai.

📕Fazail Wa Masaile Ramzaanul Mubarak

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites