↪PART- 16 *Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️*


*⚠Roze ke makhroohat ka bayan ~*
🌀Masla-Chakhne se murad ye hai k zubaan par rakhkar mazah maloom karle aur use thook de uss me se halaq mein kuch na jaana paaye warna rozah toot jayega.

🌟Masla-TV dekhna, cricket, badminton, mobile ya computer game, carrom, foot ball, volley ball, chess, hockey, tennis, card, ludo wagairah khelna aur dino mein bhi na jayez o gunaah hai ramzam sharif me aur sakht gunah aur isse rozah bhi makrooh hota hai.

🌀Masla-Gulaab ya itr wagirah sunghna daadhi, mooch mein tel lagana aur surma lagana makhrooh nahi.

🌟Masla-Roze mein miswaak karna makrooh nahi balki jaise aur dino mein sunnat hai roze me bhi sunnat hai.

🌀Masla-Roze me tooth paste,manjan, wagairah istemal makrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to rozah toot jayega.

🌟Masla-Rozhdar ke liye kulli karne aur naak me paani charhaane me mubaalga karna makrooh hai.

🔴Mubalaga karne ka matlab bhar munh pani le.

🌀Masla-Thandak pahuchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh nahi.

🌟Masla-Munh me thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai.

📕Fazail Wa Masaile Ramzaanul Mubarak

💟Muratib-Hafeez O Qari Hazrat Dilshad Ahmed Qadri( Dilshade Millat Sahab Qibla) under supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab Qibla.

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites