✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
*🌷Bismillahirrahmanirraheem🌷*
🌷 Allah Ke Naam se Shuru Jo Bada Meharbaan Aur Nihayat Raham Wala Hai..
*📛 [MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR]*
*♻ Maseeh:* Arabi zubaan mai maseeh k mukhtalif maana hai jinme se baaz ye hai:
♻ kisi cheez ko poojne wala, kisi cheez par haath pherne wala, kisi bimari k liye aafiyat ki dua karne wala, aur bahut zayada sach bolne wala, bahut jayada safar karne wala, Hazrat Isa Alaihis Salaam k liye maseeh lafz inhi maanoo mai istemaal hota hai.
♻ Maseeh k dusre maana ye hai aankh se kana, bahut zayada jhoot bolne wala, bahut jayada safar karne wala dajjal ko maseeh inhi dusre maana mai kaha gaya hai,
♻ Yaad rahe k dajjal mubalaga ka segaa hai jiska matlab hai bahut jayada jhoot bolne wala ya bahut zayada fareeb dene wala.
*📛[QAYAMAT SE QABL DAJJAL ZAHIR HOGA]*
*📛[DAJJAL K KHUROOJ KI IBTIDA IRAAN K SHEHAR KHARASAAN SE HOGI]*
♻ Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi
Wa Sallam ne aagah farmaya: "Dajjal mashrik ki sarzameen se niklega
jiska naam kharasaan hai chamda bhari dhaloo jese chehre wale loog uske saath honge".
*📚(Ibne maja Kitabul Fitab Hadees no. 3291)*
Wa Sallam ne aagah farmaya: "Dajjal mashrik ki sarzameen se niklega
jiska naam kharasaan hai chamda bhari dhaloo jese chehre wale loog uske saath honge".
*📚(Ibne maja Kitabul Fitab Hadees no. 3291)*
♻ *Wazahat:* chamda bhare dhaloo jese chehre se muraad goosht se parchapte chehte wale muraad hai..
*_🔀 TO BE CONTINUED.....🔜_*
No comments:
Post a Comment