*RAMZAM MAHARBAN PART 16*


*AETAKAAF KA BAYAAN*


Hazrat Aaisha RadiyAllahuTa'AalaAnha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem AlehisSalaat Wa Tasleem Ramzaan Ke Aakhri  Ashrah Main Aetakaaf Kiya Karte The Yaha Tak Ke (Isi Tariqe Par) Wisaal Farmaya.

(Bukhari ,Muslim)

 Hazrat Anas RadiyAllahuTa'AalaAnhu Ne Farmaya Ke

Huzoor AkehisSalaat WasSalaam Ramzaan Ke Aakhri Ashrah Main Aetakaaf Farmaya Karte The Aur Ek Saal Aetakaaf Nahi Farmaya To Dusre Saal 20 Din Aetakaaf Farmaya.

(Tirmazi , Abu Dawood)

Ramzaan Shareef Ke Aakhri Ashrah Main Aetakaaf karna Sunnate Mokidah Hai Jaisa Ke Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dehalwi Rahmathullahi Alaih Farmate Hai...

" Zahir Mazhab Hanfiyah Main Aetakaaf Sunnate Mokidah Hai Isliye Ke Huzoor AlehisSalaat WasSalaam Hamesha Aetakaaf Farmaya Karte The. Yaha Tak Ke Is Duniya Se Tashreef Le Gaye.

(Ash'Atul Lam'Aat, J-2, S-118)

(Ref: Anwar -ul- Hadees , S-292)


 Aetakaaf Ki Niyyat Se Allah Ta'Aala Ke Waste Masjid Main Thaher Ne Ka Naam Aetekaaf Hai.

Aetakaaf Teen(3) Qism Ka Hai.

1__ Wajib

2__ Sunnate Mokidah

3__ Mustahab

Aetakaafe Wajib :-

 Ye Nazar Ka Aetakaaf Hai. Jaise Kisi Ne Ye Mannat Maani Ke Falaa'n Kaam Hojayega To Main Ek Din Ya Du Din Ka Aetakaaf Karunga  To Ye Aetakaaf Wajib Hai. Iska Pura Karna Zaruri Hain. Aetakaaf Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai. Baghair Rozah Ke Sahi Nahi.

Aetakaafe Sunnate Mokidah :- 

Ye Ramzan Ke  Pure Ashra-E-Akheerah Yaani Aakhir Ke 10 Din Main Kiya Jaye. Yani 20we Ramzaan Ko Suraj Dobte Waqt Aetakaaf  Ki Niyyat Se Masjid Main Maujood Huwa Aur 30we Ko Suraj  Dobne Ke Ba'd Ya 29we Ko Chaand Hone Ke Ba'd Nikle. Agar 20we Tareekh Ko Ba'd Namaze Magrib Aetakaaf Ki Niyyat Ki To Sunnate Mokidah Ada Na Hogi.

Ye Aetakaaf Sunnate Mokidah Kifaya  Hai Ke Agar Sab Chod De To Sab Pakade Jaye Aur Agar Ek Ne Bhi Kar Liya To Sab  Chhut Jaye Is Aetakaaf Main Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hain.

(Hindiyah , Hidaya Waghera)

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites