RAMZAN MAHARBAN PART 12


Roze Ka Bayaan Hadees Shareef Se

●Hadees No.2

Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahuTa'Aala Anhu Ne Kaha Ke RasoolAllah SallAllAhuTa'AalaAlehiWaSaalam  Ne Farmaya

Jo Shakhs Imaan Ke Sath Sawab Ki Ummeed Se Roze Rakhega To Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge
Aur Jo Imaan Ke Sath Sawaab Ki Niyat Se Ramzaan Ki Raato'n Main Qayaam Ibadat Karega To Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge
Aur Jo Imaan Ke Sath Sawaab Haasil Karne Ki Garz Se Shabe Qadr Main Qayaam Karega Uske Agle Pichle Gunah Bakhsh Diye Jayenge.
(📚Bukhari , Muslim)
(📓Ref:Anwar-ul-Hadees , S-272)

●Hadees No:3

Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Kehte Hain Ke
Huzoor Alehissalato WasSalaam Ne Farmaya Ke Jab Mahe Ramzaan Ki Pehli Raat Hoti He To Shaytaan Aur Sarkash Jinn Qaid Kar Liye Jate Hain
Aur Jahannum Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain (Phir Ramzaan Bhar) Un Main Se Koyi Darwazah Khola Nahi Jata
Aur Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain To Un Main Se Koyi Darwazah Band Nahi Kiya Jata
Aur Munadi Pukarta He Ke Ae__ Khair Ki Talab Karne Wale. Mutawajjah Ho
Aur Ae__Buraayi Ka Iradah Rakhne Wale ! Buraayi Se  Baaz Reh.
Aur Allah Bahot Se Logo'n Ko Dozakh Se Azaad Karta He Aur Har Raat Aisa Hota He.
(📚Tirmazi , Ibne Maaja)
(📓Ref: Anwar-ul-Hadees ,S-272 to 273)

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites