*Seerat e Ghous e Azam* *Part:-06*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Shaikh Abu Ahmed Abdullah Al-Jooni Kuddisa Sirrahoo Annoorani*

♡Shaikh Abu Ahmed Abdullah Al-Mulqqab Bil-Haqqi Alaihirrahma ne 268 iswi mein kohe hird mein apni khalwat mein irsaad farmaya ki anqareeb blade Azam mein ek ladka paida hoga jiski karamat aur khawarik kee wajah se bahut shohrat hogi usko tamam Auliya Allah k nazdeek Maqbuliyate tamma hasil hogi uske wajoode bawajood se ahle zamana sharf hasil karenge aur jo uski ziyarat karega nafa uthayega....

*📓Ref ( Bahajatul-Asraar safa 4 )*

*☆Shaikh Muhammad Shabnaki Alaihirrahma :*

♡Farmatey hain ki maine apne peere kamil Shaikh Abu Bin Hawara Alaihirrahma se suna ki Iraq k autaad ( 8 ) hain

(1)Hazrat Maroof Karakhi
(2)Imam Ahmed Bin Hanbal
(3)Hazrat Bish Hafee
(4) Hazrat Mansoor Bin Ammar
(5)Hazrat Junaid Bagdadi
(6)Hazrat Sirri Saqti
(7)Hazrat Sahal Bin Abdullah Tastri
(8)Hazrat Abdullah-Qadir Jeelani

♡Maine aapki khidmate Aqdas mein Arz kiya ki Hazrat Abdul-Qadir jeelani kaun hain?

*☆Tou aapne irshad farmaya :*

☆TARJAMA:- Yani Surfae Ajam mein se ek shakhs Bagdad Shareef mein aakar sukoonat akhtiyar karega uska zuhoor panchvi sadi mein hoga aur wah shakhs autaad, Afrad aur aqtabe zamana se hoga...

*📓Ref ( Bahajatul-Asraar safa 137, Musnnifa Allama Nurooddeen Ali Bin Yoosuf Shatnoon Qalaidul-jawahir safa . 22, Qalaidul-jawahir safa . 22, Satar 3 ta 6 Musnnifa Allama Muhammad Bin Yahiya jalani  Khazeentul-Asfiya farsi jild 1, safah 98 )*

*Shaikh Abu Bakar Bin Hawaar Alaihirrahma :*

*☆Se Ba'asnaad Bayaan kiya gaya hai*

☆TARJUMA:- Yani ek roz unhone apne mureedeen se farmaya ki ANQAREEB Iraq mein ek ajmi shakhs jo ki Allah ta'ala aur logon k nazdeek Aali Martabat hoga uska naam Abdul-Qadir hoga aur Bagdad shareef mein sukoonat ikhtiyar karega qadami hazehi Ala raqbate kulle waleeyiAllah ka elan farmayega aur zamana k tamam Auliya Allah uske mutee'a honge..

*📓Ref ( Bahajatul-Asraar safa 4, Satar 4 ta 6, Qalaidul-jawahir safa 23, Satar 2 ta 5 )*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites