*Seerat e Ghous e Azam* *Part:-08*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Ilme Deen Hasil karne ka ishara*

♡Shaikh Muhammad Bin Qaidul-Awani Rahmatullah ta'ala alaih bayaan kartey hai ki Hazrat Mahboobe Subhani Razi'allahu ta'ala anhu ne hum se farmaya ki Haj k din bachpan mein mujhe ek martaba jangal kee taraf jane ka ittifaq hua aur bail k peeche-peeche chal raha tha ki us bail ne meri taraf dekh kar Ae Abdul-Qadir !  "Maa lehaza Khuliqatu" tum ko is qism k kamon k liye tou paida nahi'n kiya gaya mai ghabra kar ghar lauta aur apne ghar kee chat par Chad gaya  "Faraitunnasa waqefeena be'arfatin"  tou maine arfaat k maidan mein logon ko khade hue dekha baad razee maine apni walida Majida kee khidmate Aqdas mein hazir ho kar arz kya..

♡Yani aap mujhe Allah kee raah mein waqf kar dein aur mujhe Bagdad jane kee ijazat marhamat farmaen ki main waha'n ja kar ilme deen hasil karoon aur Saleheen kee ziyarat karoon

♡Aapne mujh se uska sabab daryaft kiya, maine bail wala waqya arz kiya tou aapki mubarak aankhon mein Aansuon aa gaye aur wah assi 80 deenaar jo mere walid majid kee wirasat they mere pas le Aaee tou maine un mein se chalees 40 deenaar le lie aur chalees 40 deenaar apne bhaee Saiyyad Abu Ahmed Alaihirrahma k liye chod die aapne mere chalees 40 deenaar meri gudadi mein se die aur mujhe Bagdad jane kee ijazat inayat farma dee.

♡Aapne mujhe har hal mein rasta goee aur sacchaee ko apnane kee taqeed farmaee aur jeelaan k bahar tak mujhe Al-Vida'a kahne k liye tashreef lai aur farmaya.

♡Tarjama:- Ae mere farzande Arjumand!  main tujhe mahaz Allah Az'wazal kee raza aur khushanoodi kee khatir apne pas se juda karti hoon aur ab mujhe tumhara munh qyamat ko hee dekhna naseeb hoga..

*📓Ref ( Bahajatul-Asraar safa, 87, Qalaidul-jawahir safa. 8,9 Nuzhatul-khatir Al-Fatir, safa 22, Akhbarul-Akhiyaar farsi, safah 22, Nafkhatul-uns farsi, safah 351 )*

*Tashreef Aawari Se Bagdad Mein Rahmate Baari*

♡Hazrat Allama Aarife Billah Nooruddin Abi Al-Hasan Ali Bin Yoosuf Ashshatanoofi Alaihirrahma Apni tasneefe lateef Bahajatul-Asraar fee Ma'adanil-Anwaar mein tahreer farmate hain ki jab Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ne apne kudoome maimanate luzoom se Bagdad Shareef ko sharf bakhsha tou Bagdad kee sa'aadamatandi k jumla asaar numayan ho gaye Badi khush qismati kee baat hai ki unka mubarak qadam pahunchate hee rahmat kee badliyan cha gaee barane rahmat k badal nisar hone lage jis se is sarzameen mein rooshd w hidayat kee raushni mein dugna izafa ho gaya aur ghar-ghar ujala ho  gaya..

*Ref ( Bahajatul-Asraar safa , 105. Qalaidul-jawahir safa . 4 )*

_♻To Be Continue......🔜🔜💝_




No comments:

Post a Comment

Our Social Sites