*Seerat e Ghous e Azam* *Part:-17*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*60 Dakuon Ka Taib Hona*

♡Huzoor Shahe Jeelan Razi'allahu ta'ala anhu farmatey hain ki jab ilm e deen hasil karne kee garaz se main jeelan se Bagdad Shareef ko Qafila k humrah rawana hua tou jab hamdan se aage pahunche tou sath 60 rahazan Qafila par toot pade aur sara Qafila loot liya kisi ne mujh se ta'arrooz na kiya ek dakoo mere pas aakar poochne laga aoh ladke! tumhare pas bhi kuch hai?

♡Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu :( Jawab dete hue ) ha'n dakoo : kya hai?
Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu : Chalees deenaar dakoo : kaha'n hai

♡Ghouse Azam Razi'allahu ta'ala anhu : Gudadi k neeche? dakoo aapki rastgoee ko mazaq tasawwur karta hua chala gaya baad azeen doosre dakoo aaya us ne bhi aapse isi tarah k sawalat kie, aur Huzoor Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ne yahee jawab irshad farmaye aur wah bhi usi tarah mazaq samajte hue chalta bana jab Sab dakoo apne sardar k pas jama hue tou unhone apne sardar se mere muta'alliq bataya aur mujhe waha'n bula liya gaya wah maal ko taqseem karne  mein masroof they dakuon ka sardar mujh se mukhtab hua

*DAKUON KA SARDAR : Tumhare pas kya hai?*

☆Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu :Chalees 40 deenaar

☆DAKUON KA SARDAR : ( Dakuon ko hukm dete hue ) uski talash lo talashi lene par jab aapki sacchaee ka izhar hua tou usne ta'ajjub se sawal kiya ki tumhe sach bolne par kis cheez ne aamada kiya?

☆Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu : ( jawab dete hue ) Walida Majida kee Naseehat ne

*DAKUON KA SARDAR : Wah Naseehat kiya hai?*

♧Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu : meri walida Mohtarma ne mujhe hamesha sach bolne kee talqeen farmaee thi aur maine aapse wada kiya hai

♡DAKUON KA SARDAR : ( ZRO kar kahne laga ) Yah baccha apni Maa'n se kie hue wada se Munharif nahi'n hua aur maine sari umr apne Rab Ta'ala se kie hue wada k khilaf guzar dee
Usi waqt wah un sath 60 dakuon samet aapke daste haq parast par Taib hua aur Qafila ka loota hua maal wapas kar diya...

*KALAME WALI MEIN YAH TASEER DEKHI*

*BADALTI HAZARON KEE TAQDEER DEKHI*


*📓Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 9 Nafkhatul-uns . 352 , Nuzhul-Khatir Al - Fatir , Safah 33 , Safeenatul-auliya Safah 63 , Bahajatul-Asraar safah , 87 )*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites