*Seerat e Ghous e Azam* *Part:-21*

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Shaikh Abu Madayan Magrebee Alaihirrehma*

♡Ek din Shaikh Abu Madayan Magrebee Alaihirrehma ta'ala Alaih ne Magrib k shahar mein apni gardan ko neeche kartey hue kaha

☆TARJAMA: Ae Allah main tujh ko aur tere farishton ko gawah banata hoon ki maine tera hukm suna aur ita'at kee.

♡Aap ke mureedeen ne aapse in Alfaz k kahne ka sabab poocha tou aap ne irshad farmaya ki Shaikh Abdul-Qadir Jeelani Razi'allahu ta'ala anhu ne Aaj Bagdad Shareef mein farmaya hai.

☆QADAMI HAZEHEE ALA RAQABATIN KULILE WALEEYIALLAH

♡Uske kuch arsa baad Hazrat Ghousul-Aazam Razi'allahu ta'ala anhu k mureedeen Bagdad Shareef se wapas aae tou Hazrat Abu Madayan Alaihirrehma ne apni gardan ko neeche kya tha tou Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu k Mureedeen ne tasdeeq kartey hue kaha ki usi roz usi waqt Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anHum ne Bagdad Shareef mein "QADAMI HAZEHEE ALA RAQBATE KULILE WALEEYIALLAH"  ka elan farmaya tha...

*📗Ref ( Nafkhatul-uns farsi , safah 266 , Qalaidul-jawahir , Safah 25 , Bahajatul-Asraar safah , 16 , Fatawa Hadeesiya , Safah . 270 ,  Khazeentul-Asfiya , Safah 108 )*

*GARDANE JHUK GAEE SAR BICH GAYE DIL LAUT GAYE*

*KASHFE SAAQ AAJ KAHA'N YAH TOU QADAM THA TERA*

☆KHWAJA BAHAUDDEEN NAQSHABAND ALAIHIRREHMA :se Hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu k qaul qadamee Hazehee Ala Raqbate kulile WaleeyiAllah . k muta'alliq daryaft kya tou aapne irshad farmaya Gardan tou darkinar aap ka qadam Mubarak "Ala Ainee Au Ala Baseeratee"  meri Aankhon par hai...

*📗Ref ( Tafreehul-khatir Safah , 20 )*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites