♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
*Madarsa Kee Ghas Aur Kuwa'n*
♡Ek dafa aapke Ahad mein Bagdad Shareef mein marze taoon zahir hua aur usne is qadr zor pakada ki har Roz Hazaar-Hazaar Aadami aur Auraten marne lage logon ne Hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu se is museebat aur pareshani ka tazkira kiya tou aapne irshad farmaya ki hamare Madarsa k ird gird jo Ghas hai usko ragad kar oopar lagao aur usi ko khao Allah ta'ala Beemaar logon ko isse shifa dega , neez farmaya
♡Jo shakhs Madarsa k kun'e ka Paani piega usko bhi shifa hasil hogi pas logon ne aapke famaan k mutabiq amal kya "FAWAJADOO SHIFA'AN KAMILAN " tou unko Shifa kamil hasil huee Ahaliyane Bagdad Shareef ka bayaan hai baad Azizi aapke Ahad mein dobara taoon kee "WABAA QATA'AN NA AAEE"...
*📗Ref ( Tafreehul-khatir Safah , 34 , 25 , Matboo'aa misr )*
*Madarsa ke Darwaza par jhadoo Dena:*
♡Shaikh Abu umar w usmaan Sareefeeni Alaihirrehma farmate hain ki Shaikh buqa bin Batoo aur Shaikh Ali Bin Abu Nasr Al-Heeti aur Shaikh Abu Saeed Qailoovi Razi'allahu ta'ala anhum Hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu k madarsa mein hazir hua kartey they aur Madarsa k Darwaza pe jhadoo detey they aur Paani ka chidkav kya kartey they
*📗Ref ( Bahajatul-Asraar safah , 160 , Tohafa Qadariya , Safah 76 )*
*Madarsa Kee Chaukhat Ko Bosa Dena:*
*Shaikh Usmaan Sareefeeni Alaihirrehma ka hee bayaan hai ki-*
♡TARJAMA:- Main Aksar iraaq k mashaikh ko jo Hazrat k ham'asr they jab Madarsa aur Khanqah mein Hazir hotey tou unki chaukhat ko choomtey hue dekhta..

*Khata Mu'aaf*
♡Ek Abdaal se khata Sarzad ho jane kee wajah se maqame Abdaliyat se ma'azool kar diya gaya tou usne Hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu kee Bargah mein multajee ho kar istigasa kya aur apni peshani ko madarsa kee chaukhat par rakh kar rone laga tou usi waqt hatife Ghaib se Aawaz Aaee
☆TARJAMA: Ae Fula'n! Choonki toone mere mahboob Saiyyad Abdul-Qadir k Darwaze kee khak par Niyaaz mandi k liye sar rakh diya hai isliye maine tumko mu'aaf kar diya aur pahle se bhi buland maqaam Ata farmaya hai, tum Hazrat Ghous e pak Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmate aqdas mein hazir ho kar Allah ta'ala kee is nematen uzma ka shukriya Ada karo...
*📗Ref ( Tafreehul-khatir Safah , 33 )*

No comments:
Post a Comment