*SHAANE HYDER E KARRAAR* *karramaalahu wajhahul kariim* Post-7

🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...

      Mafhume Ahaadis...
🔻Khayber k din farmaya...
      Kal ye jhanda us k haath me Dunga k jis k haathon par Allah fatah ( victory ) ata farmayega.. Or WO ALLAH OR US K RASOOL SE MUHABBAT KARTA HAI OR....ALLAH OR RASOOL BHI USSE MUHABBAT KARTE HAIN....Fir subha hui sab ki ye aarzu thi k jhanda use diya jaaye.
       Hamare Aaqa ne pucha k Ali kahan hai...arz ki gayi k unki aankhon me taklif hai.... Irsad farmaya... Unhein yahan laao..to laaye gaye....

🔻Hamare Aaqa ne unki aankhon mein apna luaab ( thook mubarak ) laga diya to ayse achche ho gaye k kabhi koi taklif hi na ho.
...SUBHAANALLAAH
Fir Unko jhanda diya gaya.... Or khayber qilaa fatah huwa...
      Is waqae mein sabse ahem chiiz k Hamare Aaqa ne ye farmaya k ayse ko jhanda ata  kiya jaayega k jo Allah o Rasool ko chahta hai or Allah O Rasool use chahte hai...Pata chala k Hazrat Ali Allah o Rasool k mehbub hai.
.....sallallahu alayhi wasallam...
.....karramallahu wajhahul karim..

*📚MISHKAAT SHARIF...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites