🎯Shohar Ke Huqooq Biwi Par Hadees Ki Roshni Me Aur Shohar Ka Haq 🎯


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰  
  【Post: 17】  ❤NIKAH-KA-BAYAN❤
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

✍☀: Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Se Marvi Hai Ki
Aap ﷺ Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Haazir Hui Aur Arz Kiya
"Ya Rasoolallah ﷺ !
Me Jawan Aurat Hu Muze Nikah Ke Paigam Aate Hai
Magar Me Shaadi Ko Bura Samajhti Hu.
Aap Muze Bataiye Biwi Par Shohar Ka
Kya Haq Hai"?
Pyare Aaqa ﷺ Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya"

✍☀:Agar Shaohar Ki Choti Se Pair Ki Ediyo Tak Peep Ho
Aur Wah Use Zaban Se Chate To Bhi Shaohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi".
Us Aurat Ne Pucha
"To Main Shaadi Na Karu"?
Ispar Aap ﷺ Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Tum Shaadi Karo Kyunki Isme Bhalaai Hai".

📖(Mukasheftul Kuloob Bab No 95, Safa 617)

✍☀:ALLAHU AKBAR..!
Hazrate Maimuna Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke
Rasoolallah ﷺ Sallallaho Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya
"Meri Ummat Me Subse Behtar Wo Aurat Hai
Jo Apne Shohar Ke Sath Acha Sulooq Karti Hai
Aisi Aurat Ko 1000 Shahido Ka Sawab Milta Hai Jo Khuda Ki Rah Main Sabr Ke Liye Shahid Hue.
Un Aurato Me Se Har Aurat Jannat Ki Hooro Par Aisi Fazilat Rakhti Hai
Jaise Muhammad ﷺ Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Tum Me Se Adna Mard Par".

📖(Gunyatuttalebin Safa 113)


©ontinue..........
__________________________________

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites